Nazron Pe Hai Ehsaan Tera
Nazron Pe Hai Ehsaan Tera (Hz Aarif Laubali)
Kalaam of Aarif Laubali
Chand o Suraj ka Mehvar Naat
Yaad Se Unki Munawwar Hai Sada
Noor Aawar Noor Paikar(Asad Sanai Sahab)
Ood Sandal Mushk Ambar Naat Hai
Shaghle Rab Hai Aur Shaghle Abd Bhi
Band Mutthi Ka Wo Kankar Naat Hai
aap Par Aaqa Ke Patthar Naat Hai
Kyun Na Ho Sarkar Ka Sajda TaveeKhurbate Shabeer o Shabbar Naat Hai
Noor Aawar Noor Paikar Naat Hai
Booe Taiba Se Muattar Naat Hai.
Masjide Nabavi Ka Mimbar Naat Hai
Naat Ka Inaam Chadar Naat Hai.
Ayesha Bibi Ka Zevar Naat Hai
Fatima Zahra Ki Chadar Naat Hai.
Unka Chalna Unka Sona Jaagna
Unka Takiya Unka Bistar Naat Hai.
Choom kar Unke Pasine Ka Khayaal
Ood Sandal Mushk Ambar Naat Hai.
Shayri me Sab se Badhkar Naat Hai.
Dast Basta Hoke Kehti Hai Ghazal
Mai Hoon Ek Qatra Samandar Naat Hai.
Jisne Jahil Ko Sara Sima Kiya
Band Mutthi Ka Wo Kankar Naat Hai.
Unki Ungli Ke Isharon Ka Aseer
Suraj Ka Wo Mehvar Naat Hai.
Jibraili Hauslon Ki Inteha
Naqshe Paa Par Bosae Tar Naat Hai.
Noore Ahmed Noore Haq Ke Roobaru
La Makani Ka Wo Manzar Naat Hai.
Dushmanon Ki Andhi Aankhon Se Pare
Ghaar Makdi Aur Kabootar Naat Hai.
Bhook Ki Shiddat Padhe Jispar Durood
aap Par Aaqa Ke Patthar Naat Hai.
Unke Lam Se Paak Se Paakar Hayaat
Hazrate Jaabir Ka Dastar Naat Hai.
Jispe Unka Mojza Hai Meherbaan
Pyaas Ka Maana Wo Lashkar Naat Hai.
Dekh Kar Mehshar Me Unki Azmatein
Yoon Laga Maidane Mehshar Naat Hai.
Naat Hai Usmano Haidar Ka Wujood
Sarba Sar Siddique Akbar Naat Hai.
Kat Ke Sar Gustaq Ka Khud Ke Utha
Teghe Farooqi Sara Sar Naat Hai.
Karbala Me Aaj Bhi Hai Jiski Goonj
Chadgaya Neze Pe Jo Sar Naat Hai.
Kyun Na Ho Sarkar Ka Sajda Taweel
Shabbar Naat Hai.
Ye Asad Ka Deedae Tar Naat Hai.
Pet Par Aaqa Ke Patthar Naat Hai.
Ayesha Bibi Ka Zewar Naat Hai
Noor Ko Shakl Di Mustafa Kardiya
Ek Tajalli Ne Sab Tasfiya Kardiya.
Khud Numayi Ki Khwahish Ne Kya Kardiya
Zaat Ko Zaat Ka Aaina Kardiya.
Zarraye Khaak Ko Haq Rasa Kardiya
Ek Nazar Ne Teri Kya Se Kya Kardiya.
Aap Par Khatm Har Itiqaa Kardiya
Ek Ek Baat Ne Maujza Kardiya.
Wo Azal Se Hi Sultane Laulaak Hai
Kam Kahan Tha Jo Rutba Bada Kardiya.
Dil Ke Veerane Noori Chanan Bangaye
Sabz Gumbad Ne Sab Kuch Har Kardiya.
Khibla -E- Deeno Imaan Wohi Zaat Hai
Jiske Khible Ka Ruq Doosra Kardiya.
Jaane Na Samjhi Nahi Aapki Azmatein
Nashanason Ne Fitna Bapa Kardiya
Shaane Misle Bashar Shouq Be Misl Hai
Laakh Ailaane
Khul Innama
Kardiya.
Noor Ko Shakl Di Mustafa Kardiya(Hz Khwaja Shouq Rh)
Paseene Ko Paakar Hawa -E- Madina
Bohot Hai Muattar Hawa -E- Madina.
Mareezaan -E- Aalam Shifa Paarahe Hain
Dawa Se Hai Badhkar Hawa -E- Madina.
Bikheri Hai Rangat Hari Jaaliyon Ki
Chali Hai Jo Chukar Hawa -E- Madina.
Hawa Jannaton Ki Ye Kehti hai Saifi
Hai Hamse Bhi Behtar Hawa -E- Madina.
Paseene Ko Paakar Hawa -E- Madina (Hz Saifi Rh)