Zaat Ameere Hamza Ki
Zaat Ameere Hamza Ki
Sarkare Do Aalam Ko Pyaari
Hai Zaat Ameere Hamza Ki
Baqshish Ki Sanad Miljayegi
Kar Baat Ameere Hamza Ki.
Mai Shaahe Madina Ke Dar Par
Jab Haazri Dene Jaata Hoon
Sarkar Se Leke Aata Hoon
Khairaat Ameere Hamza Ki.
Islaam Ke Palne Badhne Me
Hai Haath Ameere Taiba Ka
Islaam Kabhi Na Bhoolega
Khidmaat Ameere Hamza Ki.
Bhar Bhar Ke Jholiyan Aate Hain
Jo Saail Dar Pe Jaate Hain
Taiba Me Saqawath Jaari Hai
Din Raat Ameere Hamza Ki.
Taa Hashr Governor Taiba Ke
Sarkar Ke Pyaare Dilbar Hain
Kya Shaan Ameere Hamza Ki
Kya Baat Ameere Hamza Ki.
Jayegi Ajmal Taiba Se
Aur Khulde Bareen Me Utregi
As'haabe Nabi Ki Jhurmuth Me
Baraat Ameere Hamza Ki.