Sultane Karbala Ko Hamara Salaam Ho
Sultane Karbala Ko Hamara Salaam Ho
Sultane Karbala Ko Hamara Salaam Ho
Jaanane Mustafa Ko Hamara Salaam Ho.
Abbas Naamdaar Hain Zakhmon Se Choor Choor
Iss Paikare Raza Ko Hamara Salaam Ho.
Akbar Se Naujawaan Bhi Ran Me Hue Shaheed
Ham Shakle Mustafa Ko Hamara Salaam Ho.
Asghar Ki Nanni Jaan Pe Laakhon Durood Hon
Mazloom -O- Be Gunah Ko Hamara Salaam Ho.
Bhai Bhatije Bhaanje Bhi Sab Hogaye Nisaar
Har Laale Be Baha Ko Hamara Salaam Ho.
Ho Kar Shaheed Qaum Ki Kashti Tiraa Gaye
Ummat Ke Na Khuda Ko Hamara Salaam Ho.
Nasir Wilaaye Shaah Me Kehta Hai Baar Baar
Mehmane Karbala Ko Hamara Salaam Ho.
Sultane Karbala Ko Hamara Salaam Ho