Mustafa Ka Aayina Maula Hasan

Mustafa Ka Aayina Maula Hasan (Ismail Quadri Sahab)

Kalaam of Ismail Quadri

Mustafa Ka Aayina Maula Hasan
Baazu -E- Shere Khuda Maula Hasan.

Aaj Hai Jashne Wiladat Aapka
Aaj Hai Khush Kibriya Maula Hasan.

Ilm Me Haidar Ka Sajjada Nasheen
Husn Me Hai Mustafa Maula Hasan.

Aasman -E- Fatima Ke Do Hai Chaand
Ek Hussain Aur Dusra Maula Hasan.

Zulm Sehkar Apne Nana Ki Tarah
Sab Ko Dete Hain Dua Maula Hasan.

Zehar Dekar Teer Barsaaye Gaye
Yaad Hai Har Saaneha Maula Hasan.

Sufi -O- Arif Wali Abdaal Ghouse
Mukhtadi Sab Mukhtada Maula Hasan.

Har Bhikari Se Kaho Khul Kar Qadeer
Deen Ke Hain Badshah Maula Hasan.

Mustafa Ka Aayina Maula Hasan (Ismail Quadri Sahab)