Rasoole Paak Ke Gham Khwaar Hain Hazrath Abu Talib

Rasoole Paak Ke Gham Khwaar Hain Hazrath Abu Talib

Rasoole Paak Ke Gham Khwaar Hai Hazrath Abu Talib
Qaraar -E- Haidare Karrar Hai Hazrath Abu Talib.

Wo Pehle Naat Khwan As'haab Me Hai Kamli Wale Ke
Sarapa Jazba -E- Ash'aar Hain Hazrath Abu Talib.

Ameen Bankar Amaanat Aamena Ki Godh Me Leli
Khuda Ke Fazl Ke Haqdaar Hain Hazrath Abu Talib.

Sada Unko Mayassar Tha Jamaale Sarware Aalam
Nabi ki Deed Se Sarshaar Hain Hazrath Abu Talib.

Gule Baghe Bani Hashim Hisaare Rahmate Aalam
Wafadar -E- Shahe Abraar Hain Hazrath Abu Talib.

Wafa Ye Dekho Saaim Kardiya Imaan Bhi Qurban
Wafa Ke Noor Ka Minaar Hai Hazrath Abu Talib.

Rasoole Paak Ke Gham Khwaar Hain Hazrath Abu Talib