Hai Nazar Me Jamale Habeebe Khuda

Hai Nazar Me Jamale Habeebe Khuda

Hai Nazar Me Jamale Habeebe Khuda
Jinki Tasweer Seene Me Maujood Hai
Jisne Laakar Kalaame Ilaahi Diya
Wo Muhammad Madine Me Maujood Hai.

Phool Khilte Hain Pad Pad Ke Salle Alaa
Jhoom Kar Kehrahi Hai Ye Baade Saba
Aisi Khushbu Chaman Ke Gulon Me Kahan
Jo Nabi Ke Paseene Me Maujood Hai.

Maine Maana Ke Jannat Bohot Hai Haseen
Wo Abu Bakr -O- Farooq Usman Ali
Chor Kar Ham Madina Na Jaayen Kahin
Yoon To Jannat Me Sab Hai Madina Nahi
Aur Jannat Madine Me Maujood Hai
Chorna Tera Taiba Gawara Nahi
Saari Duniya Me Aisa Nazara Nahi
Aisa Manzar Zamane Me Dekha Nahi
Jaisa Manzar Madine Me Maujood Hai.

Jab Ke Toofan Safine Se Takragaya
Maine Usse Ye Be Saaqta Kehdiya
Kya Bigadega Tu Kashtiye Deen Ka
Na Khuda Jab Safine Me Maujood Hai.

Hai Ye Sab Unke Deene Mubeen Ke Faqeer
Wo Faqeeron Ke Afsar Shahe Ambiya
Wo Shahinshah Madine Me Maujood Hai.

Be Saharon Ko Seene Se Lipta Liya
Jisne Jo Maanga Usko Ataa Kardiya
Jiske Dar Par Sawaali Hain Shaaho Gada
Wo Shahinshah Madine Me Maujood Hai.

Hai Nazar Me Jamale Habeebe Khuda