Sarkar Ki Nazron Me Aisa Rutba
Sarkar Ki Nazron Me Aisa Rutba
Sarkar Ki Nazron Me Aisa
Rutba Hai Ameere Hamza Ka
Duniya To Kya Hai Jannat Me
Shohra Hai Ameere Hamza Ka.
Hai Amme Nabi Bhi Bhai bhi(
Ye Khaas Fazilath Hai Unki
Sarkare Do Aalam Se Dohra
Rishta Hai Ameere Hamza Ka.
Aawaz Najaane Kiski Thi
Sab Ahle Madina Kehte Hain
Maine To Suni Ye Kaanon Se
Jo Maangta Hai Dedo Isko
Mangta Hai Ameere Hamza Ka.
Ye Unke Karam Ki Baatein Hai
Ye Khaas Inayath Hai Unki
Jo Kuch Hai Mere Daman Me
Sadqa Hai Ameere Hamza Ka.
Har Naimath Unki Chaukhat Par
Jannat Se Utri Lagti Hai
Sad Shukr Ke Maine Bhi Dekha
Sufrah Hai Ameere Hamza Ka.
Kausar Ke Waali Ka Sadqa
Darbare Ameere Hamza Me
Do Jaam Milenge Ajmal Ko
Ek Jaam Najaf Ke Waali Se
Ek Jaam Ameere Hamza Ka.
Turbath Hai Madine Me Unki
Mujhko To Madina Lagta Hai
Saara Hai Ameere Hamza Ka.
Bin Maange Jholi Bharti Hai
Faizan Ye Ajmal Aankhon Se
Dekha Hai Ameere Hamza Ka.
Sarkar Ki Nazron Me Aisa Rutba