Sibte Khairul Anaam Moosa Raza
Sibte Khairul Anaam Moosa Raza
Sibte Khairul Anaam Moosa Raza
Aathwe Hain Imaam Moosa Raza.
Lab Pe Hain Subho Shaam Moosa Raza
Aapka Pyaara Naam Moosa Raza.
Kiya Karte Hain Taalibane Haq
Aapka Ehteraam Moosa Raza.
Maikade Se Tumhare Paate Hain
Hubbe Ahmed Ke Jaam Moosa Raza.
Aapka Naam Jab Bhi Leta Hoon
Bante Hain Bigde Kaam Moosa Raza.
Haq Ta'ala Ki Aap Ko Haasil
Hai Raza -E- Dawaam Moosa Raza.
Jad Hai Tainteeswe Mere Saifi
Aala Hazrath Imaam Moosa Raza.
Taskeene Dile Sayyade Sadaat Khadija(Bibi Khadija R.A)