Banaayi Mujh Benawa Ki Bigdi

Banaayi Mujh Benawa Ki Bigdi

Banaayi Mujh Benawa Ki Bigdi
Naseeb Mera Jagadiya
Tere Karam Ke Nisaar Tu Ne
Mujhe Bhi Jeena Sikhadiya.

Badalgayi Mere Dil Ki Duniya
Ataa Ne Wo Martaba Diya
Karam Ki Aisi Nigaah Daali
Gada Ko Sultan Banadiya.

Karam Ke Saaye Me Hamko Rakha
Kabhi Hirasaan Na Ham Hue
Hamare Sar Pe Jo Dhoop Aayi
To Apna Daman Badha Diya.

Ye Inki Banda Nawaziyan Hain
Jo Mujhpe Aisa Karam Kiya
Bana ke Apna Faqeer Mujhko
Ghame Jahan Se Chura Liya.

Ghareeb Dar Dar Bhatak Rahe The
Kahin Na Dil Ko Sukoon Mila
Karam Kiya Tu Ne Apne Dar Ko
Hamara Kaaba Banadiya.

Wazu Kiya Maine Aansuon Se
Namaz Meri Adaa Hui
Mila Jo Naqshe Qadam Tumhara
To Maine Sar Ko Jhuka Liya.

Kisi Ko Dar Se Na Khaali Taala
Har Ek Sawaali Ko Bheek Di
Ghareeb Aaye Jo Aastan Par
Karam Ka Dariya Bahadiya.

Itna Shadeed Gham Hai Ke Ehsaas -E- Gham Nahi
Kaise Kahun Ke Aapka Mujhpe Karam Nahi
Manzil Mujhe Mile Na Mile Iska Gham Nahi
Tum Saath Saath Ho Mere Ye Bhi To Kam Nahi.

Aane Waale Apni Jabeen Ko Jhuka Ke Aa
Ye Aastane Yaar Hai Sehne Haram Nahi
Jab Tak Bika Na Tha To Koi Poochta Na Tha
Tumne Khareed Kar Mujhe Anmol Kardiya.

Banaayi Mujh Benawa Ki Bigdi