Assalaam Assalaam

Assalaam Assalaam

Assalaam Aye Qaide Jaishe Wafa
Assalaam Aye Mohabbate Waliye Khuda
Assalaam Aye Tabishe Ghaare Hira
Assalaam Aye Raunaqe Bazme Dua
Assalaam Aye Jaada Paimaye Sama
Assalaam Aye Maaniye Amno Baqa
Assalaam Aye Sarbaraahe Ambiya.

Ummate Mazloom Aayi Hai Huzoor
Aansuon Ke Haar Laayi Hai Huzoor
Daastane Gham Sunaane Aayi Hai
Zakhm Apne Sab Dikhane Aayi Hai
Amn Ki Khairaat Bhi Aaqa Mile
Har Barahna Shaakh Pe Gulshan Khile.

Assalaam Aye Sarwate Ahle Yaqeen
Assalaam Aye Hamile Sharre Mubeen
Assalaam Aye Taajdaare Mursaleen
Assalaam Aye Raahate Qalbe Hazeen
Assalaam Aye Naazishe Arshe Bareen
Assalaam Aye Zeenate Farshe Zameen
Assalaam Aye Sarware Duniya O Deen
Assalaam Aye Mauje Noore Awwaleen.

Abre Rehmath Ko Ishara Kijiye
Apni Ummat Ki Khabar Bhi Lijiye
Ya Rasoolallah Ham Jaayein Kidhar
Leke Apni Chashme Nam Jaayein Kidhar
Raushni Jholi Me Aaqa Daaldein
Haazri Ka Izn Bhi Har Saal Dein.

Assalaam Aye Aabru -E- Inso Jaan
Assalaam Aye Etemaade Muflisaan
Assalaam Aye Charasaaze Har Zamaan
Assalaam Aye Monise Bekhanuma
Assalaam Aye Satwate Paighambaran
Assalaam Aye Peshwaye Muqbilaan
Assalaam Aye Aarzue Qudsiyan
Assalaam Aye Kaashife Sirre Nihaan.

Dahr Me Ummat Ko Phir Izzat Mile
Iska Har Chaake Girebaan Bhi Sile
Har Taraf Raushan Ho Khandeel -E- Hira
Ahde Haazir Me Bhi Ho Sab Ka Bhala
Ya Muhammad Mustafa Lutfo Karam
Dastbasta Hain Mere Lauho Qalam.

Assalaam Aye Qaide Jaishe Wafa
Assalaam Aye Mohabbate Waliye Khuda
Assalaam Aye Tabishe Ghaare Hira
Assalaam Aye Raunaqe Bazme Dua
Assalaam Aye Jaada Paimaye Sama
Assalaam Aye Aouje Kurje Irtiqa
Assalaam Aye Maaniye Amno Baqa
Assalaam Aye Sarbaraahe Ambiya.

Assalaam Assalaam