Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya

Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya

Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
Sunkar Wo Mujhe Paas Bulayein To Ajab Kya
Unpar To Gunahgaar Ka Sab Haal Khula Hai
Iss Par Bhi Wo Daman Me Chupayein To Ajab Kya.

Mu Dhaamp Ke Rakhna Ke Gunahgaar Bohot Hoon
Maiyyath Ko Meri Dekhne Aayein To Ajab Kya.

Na Husne Amal Hai Na Koi Kaam Bhaley Hain
Phir Bhi Hamein Sarkar Bulayein To Ajab Kya.

Deedar Ke Qaabil To Kahan Meri Nazar Hai
Lekin Wo Mere Khwab Me Aayein To Ajab Kya.

Mai Aisa Khatawaar Hoon Kuch Had Nahi Jiski
Phir Bhi Mere Aibon Ko Chupayein To Ajab Kya.

Wo Husne Do Aalam Hain Adeeb Unke Qadam Se
Sehra Me Agar Phool Khilaayein To Ajab Kya.