Kaante Jo Bichaate The Sarkar Ke Raste Me

Kaante Jo Bichaate The Sarkar Ke Raste Me

Kaante Jo Bichaate The Sarkar Ke Raste Me
Aaqa Ne Ugaaye Gul Un Logon Ke Seene Me.

Ausaaf Ke Pardon Me Aaqa Ki Haqiqath Hai
Nayaab Koi Shai Ho Rehti Hai Wo Parde Me.

Hai Chashme Falak Hairaan Khud Zulm -O- Sitham Ne Bhi
Aaqa Ko Nahi Dekha Aate Hue Ghusse Me.

Haathon Me Nabi Ke Hai Aalam Ki Shahinshahi
Par Saadgi Itni Hai Paiwand Hai Kurte Me.

Ehraame Wafa Baandhe Aate Hain Malaaik Bhi
Aadaab Ke Pehre Me Har Simt Madine Me.

Mehboobe Dare Haq Hai Beshak Wo Sana Khwani
Kijayegi Jitni Bhi Quran Ke Lehje Me.

Koshish Hi Ke Bal Boote Akbar Na Koi Pohoncha
Taufeeqe Khuda Ho To Jaata Hai Madine Me.

Kaash Mai Daure Payambar Me
Kaash Mai Daure Payambar Me Uthaya Jaata
Ba Khuda Qadmon Me Sarkar Ke Paaya Jaata.

Saath Sarkar Ke Ghazwaat Me Shaamil Hota
Unki Nusrath Me Lahu Mera Bahaya Jaata.

Reth Ke Zarron Me Allah Badal Deta Mujhe
Phir Mujhe Raahe Muhammad Me Bichaya Jaata.

Khaak Hojata Mai Sarkar Ke Qadmon Ke Tale
Khaak Ko Khaake Madina Me Milaya Jaata.

Milke Sab Log Mujhe Matthi Se Gaada Karte
Phir Mujhe Masjide Nabawi Me Lagaya Jaaya.

Kaash Aye Kaash Mai Hota Koi Aisi Lakdi
Jisko Sarkar Ke Mimbar Me Lagaya Jaata.

Unke Rauze Ke Daro Baam Sajane Ke Liye
Rauzanon Me Meri Aankhon Ko Lagaya Jaata.

Laaya Jaata Sare Darbar Aseeron Ki Tarah
Hukm Pe Unke Mai Aazad Karaya Jaata.

Ya Utarta Mai Kisi Naat Ka Misra Bankar
Rubaru Unke Mai Unko Hi Sunaya Jaata.

Hote Uss Daur Ka Khissa Koi Noor -O- Farhan
Aaj Ke Daur Me Bacchon Ko Padhaya Jaata.

Milke Sab Log Mujhe Matthyyi Se Gaada Karte
Kaash Ye Dua Meri Maujze Me Dhal Jaaye
Saamne Madina Ho Aur Dam Nikal Jaaye.

Ham Gunahgaron Par Aap Jo Karam Kardein
Ham Gunahgaron Ki Zindagi Sambhal Jaaye.

Aye Mere Saqi Daata Meri Soyi Khismat Bhi
Aap Ke Ishaare Se Ya Nabi Badal Jaaye.

Jab Guzar Rahe Hon Ham Pulsiraat Se Aaqa
Paun Dagmagayen To Khud Ba Khud Sambhal Jaaye.

Panjatan Ke Sadqe Me, Ho Lahad Madine Me
Ho Karam Jo Mohsin Par Zindagi Badal Jaaye.

Waasta nawason ka sadqa ghouse e azam ka
Aafat o bala saari sab k sar se taljaaye
Waasta Nawason Ka Sadqa Ghouse -E- Aazam Ka
Aafat -O- Bala Saari Sab Ke Sar Se Taljaaye.

Panjatan Ke Sadqe Me Ho Lahad Madine Me
EOGd
Kabhi Aisi Haazri Ho Dare Mustafa Pe Meri