Dar Pe Bulaao Makki Madani
Dar Pe Bulaao Makki Madani
Dar Pe Bulaao Makki Madani
Bigdi Banaao Makki Madani.
Deed Teri Hai Eid Meri
Jalwa Dikhaao Makki Madani.
Hashr Me Hoga Lab Pe Yehi
Mujhko Bachaao Makki Madani.
Apne Nawason Ka Sadqa
Gumbade Khazra Ke Saaye Tale
Dukhde Mitaao Makki Madani.
Aasi Gunahon Me Dooba Hai
Mujhko Sulaao Makki Madani.
Jaisa Hai Nibhaao Makki Madani.
Dard -O- Aalaam Ke Maare Hue Kya
Dard -O- Aalaam Ke Maare Hue Kya Dete Hain
Ham To Bas Unki Nigahon Ko Dua Dete Hain.
Jo Bhi Mujrim Mere Sarkar Ke Daman Me Chupe
Arsh Waale Use Jannat Ki Hawa Dete Hain.
Aql Waalon Ke Naseebon Me Kahan Zauqe Junoon
Ishq Waale Hain Jo Har Cheez Luta Dete Hain.
Banda Banna Hai Khuda Ka To Gada Ban Unka
Allah Allah Kiye Jaane Se Allah Na Mile
Allah Waale Hain Jo Allah Se Mila Dete Hain.
Jo Faqeeron Ko Shahinshah Bana Dete Hain.
Yaad Aati Hai Madine Ki Zahoori Jab Bhi
Chand Aansu Shabe Furqat Me Baha Dete Hain.
Dare Nabi Par Pada Rahunga
Pade Hi Rehne Se Kaam Hoga
Kabhi To Khismat Khulegi Meri
Kabhi To Mera Salaam Hoga.
Khilaafe Mashook Kuch Hua
Na Koi Aashiq Se Kaam Hoga
Khuda Bhi Hoga Udhar Hi Aye Dil
Jidhar Wo Aali Maqaam Hoga.
Jo Dil Se Hai Maa'ile Payambar
Kiye Hi Jaunga Arze Matlab
Ye Uski Pehchaan Hai Muqarrar
Ke Har Dam Uss Benawa Ke Lab Par
Durood Hoga Salaam Hoga.
Milega Jab Tak Na Dil Ka Matlab
Na Shaame Matlab Ki Subha Hogi
Na Ye Fasaana Tamaam Hoga.
Isi Tawaqqo Pe Jeeraha Hoon
Yehi Tamanna Jila Rahi Hai
Nigahe Lutfo Karam Na Hogi
To Mujhko Jeena Haraam Hoga.
Tera Dae Chordke jaaun to kahan jaaun mai
Mere Aaqa Mere Sultan Madine Waale.
Dare Nabi Par Pada Rahunga ko
Girah...
Tera Dar Chor Ke Jaaun To Kahan Jaaun Mai
Dare Nabi Par Ye Umr Beete