Hz Abu Bakr Siddiq Rz
Hz Abu Bakr Siddiq Rz (Aarif Laubali Sahab)
Kalaam of Aarif Laubali
Nabi Ki Shaane Rehmath Ka Nishaan Siddiqe Akbar Hain
Ameere Ahle Imaan Be Gumaan Siddiqe Akbar Hain.
Hain Walid Ayesha Ke Khafila Salaare Ahle Haq
Musalmanon Ke Meere Karwaan Siddiqe Akbar Hain.
Nabi Jisko Musalla Dein Imamath Ke Liye Apna
Imamath Ka Wo Behre Be Qaraan Siddiqe Akbar Hain.
Hain Rabbul Aalameen Ke Raazdaan Sarkare Do Aalam
Rasoole Hashmi Ke Raazdaan Siddiqe Akbar Hain.
Rasoole Paak Jaanein Martaba Siddiq Ka Warna
Nazar Jiski Jahan Tak Hai Wahan Siddiqe Akbar Hain.
Aman Ho, Jang Ka Mauqa Ho, Hijrath Ho Ke Madfan Ho
Nabi Hain Jis Jagah Beshak Wahan Siddiqe Akbar Hain.
Safar Duniya Ne Chauda Sau Baras Ka Tay Kiya Aarif
Jahan Hain Mustafa Ab Tak Wahan Siddiqe Akbar Hain.
Hz Ammar Bin Yasir R.a