Sayyade Duniya -O- Deen Ki Jaane Jaan
Sayyade Duniya -O- Deen Ki Jaane Jaan
Sayyade Duniya -O- Deen Ki Jaane Jaan Hain Sayyada
Sayyada Khud Aur Do Sayyad Ki Maa Hain Sayyada.
Isse Badhkar Aur Koi Aizaaz Hosakta Nahi
Sayyade Kaunain Ki Aarame Jaan Hai Sayyada.
Saaya -E- Qaule Ilaahi Me Ba Qaule Aayesha
Sayyade Kaunain Ka Sharh -O- Bayaan Hai Sayyada.
Kal Bhi Dukhiyaron Ke Dukh Me Thin Barabar Ki Shareek
Aaj Bhi Har Be Amaan Ko Ek Amaan Hain Sayyada.
Taa Abad Baaqi Rahegi Aale Paak -E- Mustafa
Karwane Rooh Ki Roohe Rawaan Hain Sayyada.
Kal Bhi Har Farman Sahaba Ko Tha Waj'he Ifteqaar
Aaj Bhi Ehle Yaqeen Par Hukmaraan Hain Sayyada.
Tu Badi Saqi Hai Fatima
Mohsine Ali Hai Fatima.
Iqtiyaare Kun Ke Bawajood
Chakki Peesti Hai Fatima.
Mustafa Ko Maangna Pada
Tab Kahin Mili Hai Fatima.
Waqt Ke Imaam Ke Liye
Aag Par Chali Hai Fatima.
Laa Ilaaha Jhoomne Laga
Sajda Karrahi Hai Fatima.
Meer Taighe Murtaza Ke Saath
Arsh Par Pali Hai Fatima.
Raushni Qadam Ke Chand Ko
Bheek Derahi Hai Fatima.
Aaye Hain Hasan Ba Waqte Zohar
Asr Padhrahi Hai Fatima.
Laad Me Khadija Kehti Thin
Rab Ki Laadli Hai Fatima.
Waarise Haale Matloobe Jallo Ulaa
Sayyada Fatima Sayyada Fatima
Aap Me Jalwagar Sayyadul Ambiya
Sayyada Fatima Sayyada Fatima.
Aankh Waalon Pe Jin Sey Haa'khayaq Khulein
Ek Shah'hoodi Tajalli Jinhe Keh Saken
Aise Bete Kiye Tumko Haq Ne Ata
Sarware Ambiya Ki Ho Laqte Jigar
Aap Se Mo'attbar Lafze Aale Abaa
Uske Haaton Me Chakki Se Gathen Padhen
Ye Sharaf Kisne Paaya Tumha.re Siwa
Chashme Rehmat Ka Mauroosi Haqdaar Hai
Khaana Zaade Azal Hai Layeeq Aapka.
Warise Haale Matloobe Jallo Ulaa (Hz Layeeq Rh)
Saaf mazmoon hai sure dahaz Ka Magne Waala Koi Bhi Jab Aagaya
Sau Durood Aap Par Sau Salaam Aap Par
Uske Haaton Me Chakki Se Gathen Padhen ki
Jinka Maskan Tha Aaghoshe Khairul Bashar
Aankh Waalon Pe Jin Se Haqaaiq Khulein
Ek Shahoodi Tajalli Jinhe Keh Saken
Saaf Mazmoon Hai Sura -E- Dahr Ka
Maangne Waala Koi Bhi Jab Aagaya
Ye Sharaf Kisne Paaya Tumhare Siwa
Aapke Dar Se Phir Wo Na Khaali Phira
Uske Haaton Me Chakki Se Gathen Padhe
Unke Haaton Me Chakki Se Gathen Padhe