Mangte Hain Tere Dar Ke Khairaat Ataa Karna

Mangte Hain Tere Dar Ke Khairaat Ataa Karna

Mangte Hain Tere Dar Ke Khairaat Ataa Karna
Aaqa Teri Aadat Hai Mangton Ko Diya Karna.

Shaahon Ki Madha Khwani Hamse To Nahi Mumkin
Apna To Wazifa Hai Aaqa Ki Sana Karna.

Mai Door Hoon Taiba Se Dardon Ne Mujhe Maara
Tum Mere Maseeha Ho Dardon Ki Dawa Karna.

Iss Baar Madine Me Aye Kaash Ke Mai Pohonchun
Manzoor Khuda Ab To Dukhiye Ki Dua Karna.

Mai Apni Khataon Pe Sharminda Hoon Naadim Hoon
Tum Rehmate Aalam Ho Har Maaf Khata Karna.

Bu Bakr Ne Batlaaya Sab Ahle Zamana Ko
Dildaar Ke Qadmon Me Gharbaar Fida Karna.

Hamne To Raza Saqib Aadat Si Banaali Hai
Sab Ranjo Alam Apne Aaqa Ko Kaha Karna.

Mangte Khaali Haath Na Laute
Kitni Mili Khairat Na Poocho
Unka Karam Phir Unka Karam Hai
Unke Karam Ki Baat Na Poocho.

Ishqe Nabi Kaunain Ki Daulat
Ishqe Nabi Baqshish Ki Zamanat
Is Se Badhkar Daste Talab Me
Hai Bhi Koi Saughaat Na Poocho.

Rashke Jinaan Taiba Ki Galiyan
Har Zarra Firdause Bad Aaman
Charon Taraf Anwaar Ka Aalam
Rehmath Ki Barsaat Na Poocho.

Zahir Me Taskeene Dilo Jaan
Batin Me Meraj Dilo Jaan
Naame Nabi Phir Naame Nabi Hai
Naame Nabi Ki Baat Na Poocho.

Haal Agar Kuch Apne Sunaya
Unke Karam Ka Shikwa Hoga
Mai Apne Halaat Me Khush Hoon
Mujhse Mere Halaat Na Poocho.

Taaje Shafa'at Sar Par Pehne
Hashr Ka Dulha Aa Pohoncha Hai
Aankhen Kholo Ghour Se Dekho
Kis Ki Hai Baraat Na Poocho.

Mai Kya Aur Kya Meri Haqiqat
Sab Kuch Hai Sarkar Ki Nisbath
Mai To Bura Hoon Lekin Meri
Laaj Hai Kiske Haath Na Poocho.

Khalid Mai Sirf Itna Kahunga
Jaag Itha Askhon Ka Maqdar
Ishqe Nabi Me Rote Rote
Kaise Kati Hai Raat Na Poocho.

Jaag Utha Askhon Ka Maqdar
Charon Taraf Anwaar y Aalam
Charon Taraf Anwaar Aalam
GPMujhse Mere Halaat Na Poocho.

Kis Ki Hai Ye Baraat Na Poocho.

Jaag Utha Askhon Ka Muqaddar
PHar Zarra Firdause Bad Aaman
Kuntu Kanzan Raaze Mashiyyath
Jalwaye Asra Noore Hidayath
Jagmag Jagmag Dono Aalam
Kaisi Hai Wo Zaat Na Poocho.

Isse Badhkar Daste Talab Me
Zaahir Me Taskeen -E- Dilo Jaan
Baatin Me Meraj -E- Dilo Jaan
Kiski Hai Baraat Na Poocho.

Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan
Jaan -O- Dil Qurban Hai Wo To Aashiqon Ki Jaan Hai
Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai.

Mera Ghar Aulaad -O- Jaan Mehboob Par Qurban Hai
Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai..

Chand Ke Tukde Kiye Suraj Phiraya Aapne
Kankari Be Jaan Thi Kalma Padhaya Aapne
Maalik -O- Muqthar Aaqa Kaisa Wo Zeeshan Hai.

Ungliyan Kaati Jinhone Husne Yousuf Dekhkar
Zulf Hai Wallail Unki Waz Zuha Ruqsaar Hai
Dekhlete Wo Agar Mere Nabi Ko Ek Nazar
Pher Leti Dil Pe Churiyan Ye Mera Imaan Hai.

Kya Bayaan Ho Shaan Hamse Mustafa Ke Aal Ki
Dilbare Maula Ali Ki Fatima Ke Laal Ki
Fatima Hasnain -O- Haidar Mustafa Ki Jaan Hai.

Iss Jahan Me Jis Qadar Bhi Khoob Ru Insaan Hai
Har Ghadi Anwaar -O- Rehmath Ki Wahan Barsaat Hai
Wo Sabhi Unke Qadam Ki Dhool Par Qurban Hai
Aapke Jalwon Ko Rizwan Dekh Kar Hairan Hai.

Khulq Hai Unka Azeem Quran Ka Shi'aar Hai
Warafa'ana Laka Zikrak Rab Ka Ye Farman Hai.

Jis Jagah Par Jalwa Farma Mustafa Ki Zaat Hai
Nikle Dam Taiba Me Maula Ye Mera Armaan Hai.

Ek Hirni Phasgayi Sayyaad Ke Jab Jaal Me
Dekh Kar Aaqa Ko Boli Wo Zubaane Haal Me
Kardiya Aazaad Kya Sarkar Ka Farmaan Hai.

emau
Mar Ke Apni
Mar Ke Apni Hi Adaon Pe
Mar Ke Apni Hi Adaon Pe Amar Hojao
Zindagi Ne To Samandar Me Mujhe Phenk Diya
Apni Mutthi Me Wo Lelen To Gauhar Hojaun.

Mera Mehboob Hai Wo Raahbare Kauno Makaan
Jiski Aahat Bhi Mai Sunloon To Khizar Hojaun.

Zarb Doon Khud Ko Jo Unse To Lagun Laa Tadaad
Wo Jo Mujhme Se Nikal Jaayein Sifar Hojaun.

Unki Dehleez Ke Qabil Mai Agar Hojaun.

Jo Pohonchti Rahe Un Tak Jo Rahe Mehwe Tawaaf
Aisi Awaaz Banoon Aisi Nazar Ho Jaaun.

Iss Qadar Ishqe Nabi Ho Ke Mita Doon Khud Ko
Iss Qadar Khoufe Khuda Ho Ke Nidar Ho Jaaun.

Aarzu Ab To Muzaffar Jo Koi Hai To Ye Hai
Jitna Baaqi Hoon Madine Me Basar Ho Jaaun.

Mar Ke Apni Hi Adaon Pe Amar Hojaun
Iss Qadar Khaufe Khuda Ho Ke Nidar Ho Jaaun.

Mar Ke Apni Hi Adaon Pe Amar
Unki Raahon Pe Mujhe Itna Chalana Ya Rab
Ke Safar Karte Hue Garde Safar Hojaun.

Apni Mutthi Me Wo Lelein To Gauhar Hojaun.

Aisi Awaaz Banun Aisi Nazar Ho Jaaun.

Maujza Mere Nabi Ka Kehdiya To Hogaya
Aapne Qatre Ko Dariya Kehdiya To Hogaya.

Haath Me Talwaar Lekar Aaye Jab Hazrath Omer
Aa Mere Daman Me Aaja Kehdiya To Hogaya.

Aabdeeda The Ba Waqte Asr Jab Hazrath Ali
Doobe Suraj Ko Nikaljaa Kehdiya To Hogaya.

Masjide Nabawi Me Ghar Se Aapke Mimbar Talak
Aapne Jannat Ka Tukda Kehdiya To Hogaya.

Mustafa Ko Hai Khuda Se Pyaar Kitna Dekhiye
Khana -E- Kaaba Ko Qibla Kehdiya To Hogaya.

Naam Lekar Mustafa Ka Haath Me Lekar Qalam
Billiyon Par Unki Shafaqqat Aur Muhabbat Dekhkar
Maine Ajmal Ek Qasida Kehdiya To Hogaya.

Mustafa Ne Bu Huraira Kehdiya To Hogaya.

Mustafa Se Hai Khuda Ko Pyaar Kitna Dekhiye
Badr Ke Maidan Me Kuffar Ki Jaaye Amwaad
Jis Jagah Tha Jisko Marna Kehdiya To Hogaya.

Maula Mera Vi Ghar Hove