Ya Hasan Ya Hasan Mujtaba Mujtaba
Ya Hasan Ya Hasan Mujtaba Mujtaba
Kalaam of Hazrath Hameed Uddin Sharfi Sahab (Saifi)
Ya Hasan Ya Hasan Mujtaba Mujtaba
Jisne Dekha Kaha Mustafa Mustafa.
Aap Hi Hain Kareem Aap Hi Hain Hakeem
Jisne Paaya Kaha Hain Sakhi Murtaza.
Dosh Par Hain Sawaar Pakdi Ungli Kabhi
Unko Lipta Rahe Hain Rasoole Khuda.
Unke Walid Ali Maulaye Kayenaath
Walida Majida Sayyada Fatima.
Unke Bhai Hussain Jinke Sadqe Tufail
Sab Hue Surkhuru Baaqi Imaan Raha.
Hain Hussaini Tere Walide Mohtaram
Aur Hasni Teri Walida Majida.
Ibne Saifi Tujhe Ho Mubarak Sada
Tera Ghar Tera Markaz Shafa'at Raha.