Piya Jisne Bhi Paimana Hai Sharfuddin Baba Ka

Piya Jisne Bhi Paimana Hai Sharfuddin Baba Ka

Piya Jisne Bhi Paimana Hai Sharfuddin Baba Ka
Hua Dil Uska Deewana Hai Sharfuddin Baba Ka.

Ajab Darbar Hai Unka Anokhi Shaan Hai Uski
Niraala Sab Se Kashana Hai Sharfuddin Baba Ka.

Hua Allah Bhi Uska Nabi Bhi Hogaye Uske
Mayassar Jisko Yaraana Hai Sharfuddin Baba Ka.

Jhukaate Hain Dare Aqdas Pe Sar Shaaho Gada Donon
Ajab Darbare Shahana Hai Sharfuddin Baba Ka.

Tasadduq Aap Par Sab Maal -O- Zar Ki Kya Haqiqath Hai
Ye Jaan -O- Dil Bhi Nazrana Hai Sharfuddin Baba Ka.

Ma -E- Irfaan Peene Raat Din Maikhaar Aate Hain
Sada Aabad Maikhana Hai Sharfuddin Baba Ka.

Agarche Pee Chuke Sagar Pe Sagar Badakash Kitne
Chalakta Ab Bhi Paimana Hai Sharfuddin Baba Ka.

Deccan Me Aapse Raushan Hai Jo Sham'e Suharwardi
Ye Aazam Bhi To Parwana Hai Sharfuddin Baba Ka.