Har Saans Se Aati Hai Sada Haaye Madina

Har Saans Se Aati Hai Sada Haaye Madina

Hai Itni Shadeed Ab To Tamanna -E- Madina
Har Saans Se Aati Hai Sada Haaye Madina.

Isne Bhi Madina Dekhliya
Usne Bhi Madina Dekhliya
Wo Din Bhi To Aaye Mai Bhi Kahun
Maine Bhi Madina Dekhliya.

Aye Baade Saba Paigham Mora
Sultane Madine Ko Deejo.

Koi Parde Chaliyan De
Raste Nai Bhulde Taiba Diyan Galiyan De.

Iss Shaan Se Ho Kaash Tamanna -E- Madina
Jis Simt Nazar Jaaye Nazar Aaye Madina.

Sauda Ho Agar Sar Me To Sauda -E- Madina
Ho Dil Me Tamanna To Tamanna -E- Madina.

Har Waqt Tasawwur Me Madine Ki Faza Ho
Iss Tarha Mere Dil Me Samajaaye Madina.

Aaqa Mere Aaqa Mujhe Taiba Me Bulaalo
Sone Nahi Deti Hai Tamanna -E- Madina.

Khwahish Hai Ke Ab Jaake Na Lautun Mai Wahan Se
Naazish Mujhe Taqdeer Jo Dikhlaaye Madina.

Girah...

Har Saans Se Aati Hai Sada Haaye Madina