Ba Khuda Ali Sa Banda Na Hua Na Hai
Ba Khuda Ali Sa Banda Na Hua Na Hai
Ba Khuda Ali Sa Banda Na Hua Na Hai Na Hoga
Koi Phir Haram Me Paida Na Hua Na Hai Na Hoga.
Dulha Khuda Ke Ghar Ka Dulhan Nabi Ke Ghar Ki
Duniya Me Aisa Rishta Na Hua Na Hai Na Hoga.
Tu Laakh Bol Kafir Lekin Ye Yaad Rakhna
Imran Ka Khasara Na Hua Na Hai Na Hoga.
Jisko Mila Hai Bistar Aur Mustafa Ki Dukhtar
Aisa Naseeb Waala Na Hua Na Hai Na Hoga.
Naame Ali Se Sadma Pohoncha Jo Khaarji Ko
Aise Kisi ko Sadma Na Hua Na Hai Na Hoga.
Jaise Ali Jee Chahein Waise Hazeen Ko Rakhkhe
Naukar Ko Koi Shikwa Na Hua Na Hai Na Hoga.
Baad Az Khuda Muhammad, Maula Ali Hue Hain
Ummat Me Koi Maula Na Hua Na Hai Na Hoga.
Ba Khuda Ali Sa Banda Na Hua Na Hai