Dil Ki Duniya Ko Sajaao Aaqa
Dil Ki Duniya Ko Sajaao Aaqa
Dil Ki Duniya Ko Sajaao Aaqa
Apni Ulfath Me Jilaao Aaqa.
Shouqe Deedar Me Soun Jis Shab
Apna Deedar Karaao Aaqa.
Mere Dil Ki Hai Tamanna Har Dam
Apna Ghar Isko Banaao Aaqa.
Fikre Duniya Me Na Aansu Nikle
Apni Ulfath Me Rulaao Aaqa.
Hubbe Duniya Se Bachana Mujhko
Mujhko Apna Hi Banaao Aaqa.
Jitne Momin Hai Pareshaan Daata
Sabki Bigdi Ko Banaao Aaqa.
Aakhri Dam Bhi Adaa Ho Sunnat
Peer Ke Din Jo Qaza Ho Aaqa.
Dil Tadapta Hai Huzoori Ko Huzoor
Sadqe Murshid Ke Bulaao Aaqa.
Mujhko Phir Dushmanon Ne Ghera Hai
Apne Daman Me Chupaao Aaqa.
Shakire Razvi Hai Aasi Shaaha
Mushda Baqshish Ka Sunaao Aaqa.
Dil Me Ho Yaad Teri Goshaye Tanhayi Ho
Dil Me Ho Yaad Teri Goshaye Tanhayi
Phir To Khalwath Me Ajab Anjuman Aarayi Ho.
Aastane Pe Tere Sar Ho Ajal Aayi Ho
Aur Aye Jaane Jahan Tu Bhi Tamashayi Ho.
Aaj Jo Aib Kisi Par Nahi Khulne Dete
Kab Wo Chahenge Meri Hashr Me Ruswayi Ho.
Kabhi Aisa Na Hua Unke Karam Ke Sadqe
Haath Ke Phaailne Se Pehle Na Bheek Aayi Ho.
Unki Qismat Pe Fida Taqte Shahi Ki Raahath
Khaake Taiba Pe Jise Chain Ki Neend Aayi Ho.
Band Jab Khwaab -E- Ajal Se Hon Hasan Ki Aankhein
Uski Nazron Me Tera Jalwaye Zebaayi Ho.
Dil Me Ishqe Nabi Ki Ho Aisi Lagan-