Ashrafi Tarana

Ashrafi Tarana

Sarwara Shaaha Kareema Dastageera Ashrafa
Hurmate Roohe Payambar Yak Nazar Kun Sooe Maa.

Sahib -E- Fazl -O- Ataa Sar Chashma -E- Joodo Shakha
Tere Dar Par Tera Mangta Dast Basta Hai Khada
Laaj Rakhle Mere Daata Mere Khaali Haath Ka.

Khubba -E- Baiza Falak Rif'ath Hai Aur Mehraab - O- Maah
Dekhte Hain Topiya Thaame Sabhi Mohtaj -O- Shaah
Aastana Khasre Jannat Se Fuzoon Rakhta Hai Jaah
Haan Dikhade Jalwa -E- Zeba Bhi Ab Behre Ilaah.

Shehreyaar -E- Auliya Aye Sahibe Izzo Waqaar
Aye Gule Baaghe Wilayath Dono Aalam Ki Bahaar
Ho Khazane Gham Ke Haathon Aaj Kal Zaaro Nazaar
Teri Chaukhat Par Khada Hoon Haath Baandhe Ashk Baar.

Ek Tariqe Par Nahi Rehta Kabhi Duniya Ka Haal
Har Kamaale Raa Zawaal -O- Har Zawaal -E- Raa Kamaal
Katgayin Furqat Ki Raatein Ab To Ho Roze Wisaal
Haan Nikal Aye Aaftabe Husn Aye Mehre Jamaal.

Aagaye Hain Ab Adawath Par Bahot Ahle Zaman
Ek Main Hoon Na Tawaan Aur Laakh Hain Ranjo Mihan
Sayyade Mohtaaj Ki Sunle Baraaye Panjatan
Bol Baala Ho Tera Aabad Teri Anjuman.

Ashrafi Tarana