Suno Arsh Waalon Suno Farsh Waalon
Suno Arsh Waalon Suno Farsh Waalon
Suno Arsh Waalon Suno Farsh Waalon
Mai Sehra Ali Ka Sunaane Chala Hoon
Jo Sun Kar Ye Sehra Hain Jalte Hamesha
Unhe Aur Bhi Mai Jalaane Chala Hoon.
Padhun Tere Dada Ki Shaadi Ka Manzar
Aye Mere Imam -E- Zamana Madad Kar
Tasawwur Me Har Ek Momin Muhib Ko
Ali Ka Baraati Banaane Chala Hoon.
Khuda Ke Wali Ki Hai Shaadi Ka Mauqa
Siwaye Chiraghon Ke Kuch Na Jalega
Kaha Ye Farishte Ne Hukme Khuda Se
Mai Naare Jahannam Bujhaane Chala Hoon.
Ataa Kar Ke Haider Ko Zahra Si Zauja
Pukara Falak Par Ye Mabood Mera
Ali Ne Banaayi Hai Qismat Jahan Ki
Ali Ki Mai Qismat Banaane Chala Hoon.
Saare Jahan Se Accha Hindustan (Allama Iqbal)