Hasab Nasab Hai Niraala Ameere Hamza Ka
Hasab Nasab Hai Niraala Ameere Hamza Ka
Waraaye Fehm Hai Rutba Ameere Hamza Ka.
Hasab Nasab Hai Niraala Ameere Hamza Ka
Mere Huzoor Ke Chacha Bhi Hain Wo Bhai Bhi
Hai Dohra Aapse Rishta Ameere Hamza Ka.
Ameere Taiba Hai Shere Khuda Wo Shere Nabi
Laqab Ka Aala -O- Arfa Ameere Hamza Ka.
Allah Allah Ye Tauqeer Hai Ke Sattar Baar
Padha Gaya Hai Janaza Ameere Hamza Ka.
Bula Ke Ahle Madina Ko Unki Maiyyat Par
Hai Gham Nabi Ne Manaya Ameere Hamza Ka.
Huzoor Jaate The Har Budh Ko Unke Marqad Par
Maqaam Yoon Bhi Badhaya Ameere Hamza Ka.
Mere Wujood Me Khushbu Ka Raqs Jaari Hai
Hai Naam Zehn Me Utra Ameere Hamza Ka.
Use Huzoor Ne Izne Madina Baqsha Hai
Jo Aagaya Hai Bulawa Ameere Hamza Ka.
Khuda Ka Shukr Ke Taiba Me Hamne Sainkdon Baar
Mazaare Paak Hai Chooma Ameere Hamza Ka.
Saqa Ka Jaari Hai Dariya Ameere Hamza Ka.
Ye Rishta Unse Ghulami Ka Kuch Naya To Nahi
Azal Se Hasani Hai Banda Ameere Hamza Ka.
Jahan Me Jitni Bhi Paayi Hai Aabru Hamne
Ye Wallah Saara Hai Sadqa Ameere Hamza Ka.
Ameere Taiba Hai Wo Karte Hain Haajatein Poori
Azal Se Hasani Hai Banda A