Mai Hussain Hoon

Mai Hussain Hoon

Pisre Shahe Kaunain Hoon

Zahra Ka Noore Ayn Hoon
Mai Hussain Hoon.

Mai Kya Karun Bayan Fazilath
Mai Kya Karun Bayan Fazilath Hussain Ki
Allah Hi Jaanta Hai Haqiqath Hussain Ki.

Kehte Rahe Hussain Mai Haidar Ka Laal Hoon
Maani Na Zalimon Ne Haqiqath Hussain Ki.

Fauje Yazeed Garche Wo Baais Hazaar Thi
Phaili Hui Hai Duniya Me Imamath Hussain Ki.

Gardan Katayi Shaan Se Jhukne Nahi Diya
Chupi Nahi Kisi Se Bhi Azmath Hussain Ki.

Bulandiyon Ko Naaz Hai Mere Hussain Par
Arshe Bareen Ko Chugayi Rif'ath Hussain Ki.

Karta Hai Faqr Isliye Rashid Hussain Par
Hamko Mili Hai Aisi Imamath Hussain Ki
Maula Ali Ka Pyara Karbal Ko Jaraha Hai
Noore Nazar Nabi Ka Taiba Se Jaraha Hai.

Lelo Salaame Aakhir Ruqsath Mujhe Do Nana
Islam Ko Bachane Shabbir Jaraha Hai.

Jakar Baqih Me Bhi Amma Se Yoon Pukara
Ye Laadla Tumhara Iss Dar Se Jaraha Hai.

Ro Kar Pukare Nana Chut'ta Hai Ye Madina
Shabbir Ko Yehi Gham Aansu Rula Raha Hai.

Lete The Jis Gale Par Bose Nabi Muhammad
Uss Hi Gale Pe Dushman Khanjar Chala Raha Hai.

Matlab Ye Sar Kata Kar Asghar Ka Khoon Dekar
Shabbir Apne Nana Ka Deen Bacha Raha Hai.

Yousuf Bayan Kare Kya Karbal Ki Dastan Ko
Khulti Nahi Zabaan Aur Dil Kaamp Jaraha Hai.

Maula Ali Ka Pyaara Karbal Ko Jaraha Hai
Mera Badshah Hussain Hai
Insaniyat Ko Haq Ka Ishara Hussain Hai
Kausar Hai Jiske Zere Ijara Hussain Hai
Samjho Na Sirf Isme Shaheeden Rahe Wafa
Ta Hashr Hurriyat Ka Irada Hussain Hai.

Na Poohiye Ke Kya Hussain Hai
Mera Badshah Hussain Hai.

Aman Ka Mehr -O- Maah Bhi
Wo Shaahon Ka Hai Shaah Bhi
Aisa Shahinshah Hussain Hai.

Khuda Ke Deen Ka Na Khuda
Har Ibteda Ki Ibteda
Karam Ki Inteha Hussain Hai.

Suno Suno Ye Deen To Hussain Ka Inaam Hai
Ye Baat Kis Qadar Haseen Jo Kehgaye Moinuddin
Deen Ki Panah Hussain Hai.

Kare Koi Jo Hamsareen Kisi Ki Kya Majaal Hai
Jahan Me Har Lehaaz Se Hussain Be Misaal Hai
Ye Ho Chuka Hai Faisla Na Koi Doosra Khuda
Na Koi Doosra Hussain Hai.

Fanaa Ke Baad Phir Mujhe Nayi Hayaat Milgayi
Azaab Se Itaab Se Mujhe Najaat Milgayi
Sawaal Jab Kiya Gaya Hai Kaun Tera Peshwa
To Maine Kehdiya Hussain Hai.

Hai Jiski Fikr Karbala Hussain Wo Dimagh Hai
Ye Panjatan Ki Anjuman Ka Panchwa Charagh Hai
Hasan Ka Pehla Hamsafar Ali Ka Doosra Pisar
Imaam Teesra Hussain Hai.

Aseere Shaam Par Nigah Ki To Hurr Banadiya
Jo Mar Rahe The Unko Zindagi Ka Gun Sikhadiya
Thi Maut Har Taraf Jahan Khula Ye Raaz Bhi Wahan
Hayath Bant'ta Hussain Hai.

Hidayath -E- Hussain Par Amal Aye Mominon
Rahenge Ham Bahisht Me Yaqeen Rakho Aye Mominon
Khubool Hogi Har Dua Kisi Se Kyun Daren Bhala
Hamara Waasta Hussain Hai.

Duaon Me Nidaon Me Jo Wasta Banayega
Bahisht Ki Wo Raahon Ka Raasta Banayega
Na Waaste Me Tod Hai Na Raaste Me Mod Hai
Aisa Raasta Hussain Hai.

Maidane Dashte Karbala Ulatne Fauje Ashqiya
Badha Jo Shahe Karbala Uthi Jo Tegh -E- Lafata
Lagi Jo Sar Utaarne Kaha Ye Zulfiqar Ne
Ghazab Ka Soorma Hussain Hai.

Mera Yehi Sukoon Hai Ye Meri Izzo Shaan Hai
Ye Mujhse Hai Mai Is Se Hoon Ye Mera Jism -O- Jaan Hai
Rasoole Haq Hain Kehrahe, Sune Ye Har Koi Sune
Mera Ataa Pata Hussain Hai.

Shaheede Karbala Ka Gham Jise Bhi Na Gawaar Hai
Jo Bad Nasal Hai Bad Nasab Inhi Me Ye Shumaar Hai
Are O Munkire Azal Tu Mar Zara Qabar Me Chal
Pata Chalega Kya Hussain Hai.

Karoge Gar Muqalifat Ghame Hussain Ki Yahan
Wo Hashr Hoga Hashr Me Ke Al Hafeezu Al Ama
Jahan Bhi Chupne Jaaoge Kahin Bhi Chup Na Paoge
Ke Har Jagah Mera Hussain Hai.

Nawazishat Dekhiye Kisi Ko Baqshdi Sahar
Kisi Ko Banon Par Diye Kisi Ko Dediye Pisar
Pukari Banda Parwari Lughat Me Ahle Ishq Ki
Madad Ka Tarjuma Hussain Hai.

Bahisht Ki Wo Raahon Ka Jo Raasta Banayega
Hidayath -E- Hussain Par Amal Karo Aye Mominon
Aaaaa Shaam Par Nigah Ki To Hurr Banadiya
Are O Munkire Azaa Tu Mar Zara Qabar Me Jaa
WThi Maut Har Taraf Jahan Khula Ye Raaz Bhi Wahan
Ye Baat Kis Qadar Hasebbb en Jo Kehgaye Moinuddin
Ye Baat Kis Qadar Hasebbben Jo Kehgaye Moinuddin
HMera Hussain Baaghe Nabuwwat Ka Phool Hai
Haidar Ki Isme Jaan Hai Khoone Batool Hai.

Guzra Jahan Jahan Se Nawasa Rasool Ka
Ab Tak Wahan Khuda Ke Karam Ka Nuzool Hai.

Itni Azeem Zaat Hai Maula Hussain Ki
Jiske Liye Huzoor Ke Sajdon Me Tool Hai.

Jiske Liye Yazeed Ne Laakhon Sitham Kiye
Wo Taaj To Hussain Ke Qadmon Ki Dhool Hai.

Duniya Me Aur Kaun Hai Shabbir Ke Siwa
Aisa Sawaar Jiski Sawari Rasool Hai.

Aale Nabi Ka Pyaar Hai Imaan Ki Raushni
Inse Nahi Hai Pyaar To Sab Kuch Fuzool Hai.

Jo Jee Me Aaye Unke Gharane Se Maangle
Maalik Ye Sab Jahan Ke Aale Rasool Hai.

Mera Hussain Baaghe Nabuwwat Ka Phool Hai
Mera Maula Maula Hussain Hai
Mera Badshah Wo Hussain Hai.

Jo Hussainiyon Me Bithadiya
Jo Hai Haqnuma Wo Hussain Hai.

Jo Dare Hussain Pe Aagaya
Saari Mannaton Ko Wo Pagaya
Ye Gharana Aale Nabi Ka Hai
Jo Saqavaton Ko Sikhagaya
Jo Faqeer Ko Kare Badshah
Aisa Badshah Wo Hussain Hai.

Ye Wazifa Hai Meri Naukri
Mai Padhunga Naade Ali Alu
Mai Piyunga Jaame Tawangari
Mai Lagaun Naaraye Haidari
Do Ujagar Ishq Me Ye Sada
Mujhe Milgaya Wo Hussain Hai.

Mai Padhunga Naade Ali Ali
Mujhe Manzilon Ka Pata Diya
Jise Choomte Rahe Mustafap
Jise Choomte Rahe Mustafa
Mera Maula iiipp
Ke Yazeediyon Se Nikaal Kar
Jo Hua Nawasa -E- Mustafa
Wo Ali Ka Beta Hussain Hai
Jo Yazeediyath Ko Fanaa Kare
Shahe Karbala Wo Hussain Hai
Bibi Fatima Ka Wo Laadla
Kya Sunaun Waqiya Karbala
Haaye Teer Neza Kahan Laga
Wo Hussaini Sar Tha Kata Hua
Saara Ghar Ka Ghar Bhi Lutadiya
Wo Jo Kar Gaya Wo Hussain Hai.

Yehi Bole Hazrate Hurr Shaha
Ya Hussain Aapka Shukriya
Mera Rehnuma Wo Hussain Hai.

Wo Bhi Banda Kitna Ajeeb Hai
Jo Kahe Yazeed Bhi Theek Hai
Ya Hussaini Ban Ya Yazeedi Ban
Aise Jhooth Me Kyun Shareek Hai
Kyun Do Kashtiyon Ka Sawaar Hai
Mere Hussain Tujhe Salaam
Assalam Ya Hussain
Karliya Nosh Jisne Shahadat Ka Jaam
Uss Hussain Ibne Haidar Pe Laakhon Salaam.

Jisne Haq Karbala Me Adaa Kardiya
Apne Nana Ka Wada Wafa Kardiya
Sab Kuch Ummat Ki Khatir Fida Kardiya
Ghar Ka Ghar Sab Supurde Khuda Kardiya
Jiska Jannat Se Joda Mangaya Gaya
Jisko Doshe Nabi Par Sulaya Gaya
Jiske Bhai Ko Zeher Pilaya Gaya
Jisko Dhoke Se Kufa Bulaya Gaya
Jisko Baithe Bithaye Sataya Gaya
Jinke Bacchon Ko Pyaasa Rulaya Gaya
Jinki Gardan Pe Khanjar Chalaya Gaya
Karchuka Wo Abhi Apni Hujjat Tamaam
Leke Allah Ka Aur Apne Nana Ka Naam
Kufiyon Ko Sunaaye Khuda Ka Kalaam
Aur Fida Hogaya, Shaahe Aali Maqaam
Jisko Dhoke Se Kufa Cagggaxgccx Gaya
Jisko Dhoke Se Kufa bulaya Gaya
Jiska Nana Do Aalam Ka Mukhtar Hai
Jo Jawanane Jannat Ka Sardar Hai
Jiska Sar Dasht Me Zere Talwaar Hai
Jo Sarapa -E- Mehboobe Ghaffar Hai
Jinka Jhoola Farishte Jhulaate Rahe
Loriyan Deke Nooreen Sulaate Rahe
Jinpe Saffaq Khanjar Chalaate Rahe
Jinko Kaandhon Pe Aaqa Bithaate Rahe
Jisko Doshe Nabi Par Sulaaya Gaya
Zeher Bhai Ko Jiske Pilaaya Gaya
Jisko Teeron Se Chalni Karaya Gaya
Karchuka Wo Adeeb Apni Hujjat Tamaam
Aur Fida Hogaya Shaahe Aali Maqaam
Deke Nooreen Sulaate Rahe
Jisko Teeron Se Chalni Banaya Gaya