Karne Lagi Tawaaf Nazar Aapka Huzoor
Karne Lagi Tawaaf Nazar Aapka Huzoor
Karne Lagi Tawaaf Nazar Aapka Huzoor
Ahle Talab Ka Kaaba Hai Ghar Aapka Huzoor.
Kaaba Hai Sajda Gaahe Jahan Theek Hai Magar
Imaan Udhar Hai Rukh Hai Jidhar Aapka Huzoor.
Qausain Ka Ho Zikr Ke Afsana Toor Ka
Rehta Hai Jalwa Peshe Nazar Aapka Huzoor.
Sar Ko Jhuka Ke Phir Na Uthaunga Hashr Tak
Ho Naqshe Paa Naseeb Agar Aapka Huzoor.
Quran Me Aap Kalmaye Tauheed Me Bhi Aap
Hota Hai Zikr Shaamo Sahar Aapka Huzoor.
Irshade Haq To Ye Hai Ke Misle Bashar Hain Aap
Samjhega Kya Maqaam Bashar Aapka Huzoor.
Aankhein Bichake Baitha Hai Zakir Iss Aas Me
Hoga Guzar Kabhi To Idhar Aapka Huzoor