Tum Ho Jaane Ali Daata Hindal Wali
Tum Ho Jaane Ali Daata Hindal Wali
Karam Karam Ke Tum Aale Rasool Ho Khwaja
Ye Ilteja -E- Ghareeban Qubool Ho Khwaja.
Tum Ho Jaane Ali Daata Hindal Wali
Mere Khwaja Piya Mere Khwaja Piya.
Maula Ali Ke Noore Nazar Ho
Pyaare Nabi Ke Laqte Jigar Ho
Ham Par Inayath Shaam -O- Sahar Ho
Sayyade Mohtaram Kardo Kardo Karam
Mere Khwaja Piya Mere Khwaja Piya.
Jisne Bhi Tumko Dukh Me Pukaara
Usko Diya Hai Tumne Sahara
Mera Bhi Daman Bhardo Khudara
Waali -E- Bekasan Khwaja -E- Khwajgaan
Mere Khwaja Piya Mere Khwaja Piya.
Usman Ke Pyaare Dukhiyon Ke Waali
Koi Bhikaari Koi Sawaali
Dar Se Tumhare Lauta Na Khaali
Tumne Sab Ko Diya Sadqa -E- Chishtiya
Mere Khwaja Piya Mere Khwaja Piya.
Yaad Jo Aaye Tumri Nagariya
Chanda Ke Jaisi Dholi Atariya
Tadpun Mai Jaise Jal Bin Machaliya
Ab To Kirpa Karo Haath Sar Pe Dharo
Mere Khwaja Piya Mere Khwaja Piya.
Girah...
Ab To Kirpa Karo
Khwaja Kirpa Karo
Mai Buri Hoon Bhali Hoon
Tihaari Hoon
Sher...
Nusrath Hai Tum Par Qurban Khwaja
Anwar Ka Hai Ye Armaan Khwaja
Kardo Mujahid Pe Ehsaan Khwaja
Ek Nazar Daaldo Mushkilein Taal Do
Mere Khwaja Piya Mere Khwaja Piya.