Yaar Aghyaar Me Nazar Aaya
Yaar Aghyaar Me Nazar Aaya
Yaar Aghyaar Me Nazar Aaya
Gul Hamein Khaar Me Nazar Aaya.
Jisko Waaiz Chupaye Phirte The
Mujhko Bazaar Me Nazar Aaya.
Ghour Jab Maine Ki To Ek Rishta
Sajj -O- Zannaar Me Nazar Aaya.
Be Takalluf Jo Chadhgaya Mansoor
Kya Use Daar Me Nazar Aaya.
Jaan Di Bulbulon Ne Jab Gul Par
Tab Wo Gulzaar Me Nazar Aaya.
Paa Barahna Jo Hogaye Moosa
Kya Unhein Naar Me Nazar Aaya.
Dhoonda Jisko Jahan Me Wo Na Mila
Wo Dile Zaar Me Nazar Aaya.
Uss Safayi Pe Jaan Dete Hain
Munh Jo Talwaar Me Nazar Aaya.
Jalwaye Haq Ghulam Ko Ulvi
Apne Sardaar Me Nazar Aaya.
Yaar Aghyaar Me Nazar Aaya (Hz Sardar Baig R.a)