Ghulamon Ko Madine Me Bulana

Ghulamon Ko Madine Me Bulana (Hz Ameen Rh)

Kalaam of Ameen

Ghulamon Ko Madine Me Bulana Ya Rasoolallah
Muqaddas Rauzaye Waala Dikhana Ya Rasoolallah.

Har Ek Mushkil Wo Aafath Se Bachana Ya Rasoolallah
Tumhi Se Maangta Hoon Mai Ke Mere Muddua Tum Ho
Tumhara Ho Mere Dil Me Thikana Ya Rasoolallah.

Ye Deewane Ko Bas Apna Banana Ya Rasoolallah.

Mere Dil Me Basi Duniya -E- Faani Ki Muhabbath Hai
Chura Kar Isse Lau Apni Lagana Ya Rasoolallah.

Munawwar Dil Ko Aur Seene Ko Kardo Noore Irfaan Se
Dikhana Jald Ab Jalwa Dikhana Ya Rasoolallah.

Basad Aadaab Hai Ye Aapse Maaroza -E- Qaadim
Ameen Ab Haq Se Waasil Aur Maqaame Qurb Ho Haasil
Ba Waqte Naz'a Aap Aana Khudara Ya Rasoolallah.

Ek Aisa Saaghar -E- Wehdath Pilaana Ya Rasoolallah.

Shehre Madina Dekh Ke Aisa Lagta Hai
Jaise Ek Pyaase Ko Dariya Lagta Hai
Shehre Madina Ki Galiyon Ka Patthar Bhi
Ham Ko Ek Anmol Nageena Lagta Hai
Pyara Hai Jo Pyare Nabi Ke Pyaron Ka
Ham Ko Apni Jaan Se Pyaara Lagta Hai.

Naame Muhammad Jab Se Likha Hai Kashti Par
Ham Ko Har Toofan Kinara Lagta Hai.

Fazle Khuda Se Ishqe Nabi Ki Khusbu Se
Haroon Ka Ghar Mehka Mehka Lagta Hai.

Dono Farishte Hogaye Rukhsat Ye Kehkar
Sone Do Aaqa Ka Diwaana Lagta Hai.

Shehre Madina Dekh Ke Aisa Lagta Hai(Ayaas)
Shehre Madina Dekh Ke Aisa Lagta Hai(Haroon)
Taare Hain Zarraat Nabi Ki Galiyon Ke
Chand Nabi Ka Naqshe Paa Lagta Hai.

Gumbade Khazra Dekh Ke Aisa Lagta Hai
Shehre Madina Dekh Ke Aisa Lagta Hai(Haroon Sahab)
Chand Nabi Ka Naqshe Kafe Paa Lagta Hai.

Shehre Madina Ki GaliyoGumbaden Ka Patthar Bhi
Gumbade Khazra Dekh Ke Aisa Lagta Hai(Haroon Sahab)
Jaise Ek Pyaase Ko Dariya Lagta Hai.

Ham Ko Ek Anmol Nageena Lagta Hai.

Pyaara Hai Jo Pyaare Nabi Ke Pyaaron Ka
Sone Do Aaqa Ka Deewana Lagta Hai.

Gumbade Khazra Dekh Ke Aisa Lagta Hai (Haroon Sahab)
Ham Par Huzoor Yoon Hi Nazar Aapki Rahe
Jaise Bani Hui Hai Hamari Bani Rahe.

Sairaab Ho Na Jaaun Mai Jalwon Se Aapke
Jab Tak Meri Hayaath Rahe Tishnagi Rahe.

Mai To Huzoor Aapke Daman Me Chupgaya
Ab Gardishe Hayaath Mujhe Dhoondti Rahe.

Aaye Hain Jitne Mehfile Milaad Me Huzoor
In Sab Ki Jholi Faizo Karam Se Bhari Rahe.

Baabe Haram Ke Saamne Pohonchun Kuch Iss Tarha
Sharm -O- Haya Ke Baar Se Gardan Jhuki Rahe.

Utre Huzoor Dil Pe Mere Naat Aapki
Har Raat Yoon Hi Ghar Me Mere Chaandni Rahe.

Masroor Ki Dua Hai Sajaye Jo Mehfilein
Unki Lahad Me Aaqa Sada Raushni Rahe.