Sarware Ambiya Taajdare Haram
Sarware Ambiya Taajdare Haram (Hz Altaf Samdani Rh)
Kalaam of Altaf Samdani
Mai Jo Chahun To Kuch Nahi Hot
Aap Chahen To Kya Nahi Hota.
Sarware Ambiya Taajdare Haram
Mera Bigda Muqaddar Banadijiye
Dono Aalam Me Rehjaye Mera Bharam
Kuch Nawason Ka Sadqa Diladijiye.
Gar Tum Na Sunoge To Meri Kaun Sunega
Jholi Meri Tumhare Siwa Kaun Bharega.
De Nawason Ka Sadqa...
Paida Hue To Haq Se Shariyath Khareedli
Jab Hogaye Jawaan To Imamath Khareedli
Maa Dar Se Khuld Baap Se Taaqat Khareedli
Sar Deke Raahe Haq Me Shahadath Khareedli
Nana Ke Do Nawason Ne Ummath Khareedli.
Unhe Nabi Mohabbath Talash Karti Hai
Unhe Ali Ki Mohabbath Talash Karti Hai
Zamane Waale To Jannat Talash Karte Hain
Hussain Waalon Ko Jannat Talash Karti Hai.
De Nawason Ka Sadqa...
Yazeed Bola Mai Zaalim Hoon Jabr Karta Hoon
Hussain Bole Mai Sayyad Hoon Sabr Karta Hoon
Yazeed Bola Udhar Maut Idhar Khazana Hai
Hussain Bole Ke Nana Ko Mu Dikhana Hai
Yazeed Bola Mai Sab Ko Khilaaf Kardunga
Hussain Bole Mai Sab Ko Muaaf Kardunga
Yazeed Bola Yahan Teer Aur Bhaale Hain
Hussain Bole Yahan Sar Katane Waale Hain.
De Nawason Ka Sadqa...
Shahinshahe Bat'ha Mujhe Bheek Dede
Madine Ke Aaqa Mujhe Bheek Dede
Ghulamon Ke Maula Mujhe Bheek Dede
Ghareebon Ke Daata Mujhe Bheek Dede
Na Shaahi Na Laal -O- Gauhar Chaahta Hoon
Karam Ki Tere Ek Nazar Chaahta Hoon
Kareemi Ki Sadqa Mujhe Bheek Dede
Ba Fazle Khuda Ambiya Ka Tasadduq
Ali Aur Khairun Nisaa Ka Tasadduq
Shaheedane Karbobala Ka Tasadduq
Nawason Ka Sadqa Mujhe Bheek Dede.
De Nawason Ka Sadqa...
Ghamzadon Ke Maseeha Mujhe Bheek Dede
Na Muradon Ke Maula Mujhe Bheek Dede
Sadqa Shere Khuda Ka Mujhe Bheek Dede
Waasta Fatima Ka Mujhe Bheek Dede
De Nawason Ka Sadqa Mujhe Bheek Dede
De Nawason Ka Sadqa...
Jo Dehekti Aag Ki Sholon Pe Soya Wo Hussain
Jisne Apne Khoon Se Duniya Ko Dhoya Wo Hussain
Jo Jawaan Bete Ki Maiyyath Par Na Roya Wo Hussain
Jisne Sab Kuch Khoke Phir Bhi Kuch Na Khoya Wo Hussain
Khoon Ke Jisne Do Aalam Me Ujaala Kardiya.
De Nawason Ka Sadqa...
Dono Aalam Me Rehjaye Mera Bharam
Kuch Nawason Ka Sadqa Diladijiye.
Aap Shamsuz Zuha Aap Badrud Dujaa
Aap Rehmath Laqab Aap Haq Ki Ataa
Ya Muhammad Khudara Karam Kijiye
Mushkilein Sab Ki Aasan Banadijiye.
Ya Muhammad Muhammad...
Gira...
Allah Muhammad Ka Quran Muhammad Ka
Kaunain Me Chalta Hai Farman Muhammad Ka
Har Koi Munawwar Hai Anwaare Muhammad Se
Maqlooq Ke Sar Par Hai Ehsan Muhammad Ka
Pal Bhar Me Zamane Ki Taqdeer Badal Dega
Sultane Zamana Hai Darban Muhammad Ka
Sarkar Ke Jalwe Hain Kausain Ki Manzil Me
Hai Arshe Mo'alla Bhi Aiwaan Muhammad Ka
Qismat Ka Sikandar Hai Altaf Wohi Insaan
Jis Shaqs Ko Miljaye Damaan Muhammad Ka.
Ya Muhammad Muhammad...
Kardo Karam Ka Ishara Muhammad
Gunahgaar Hoon Par Tumhara Muhammad
Tumhi Baqshishon Ka Sahara Muhammad
Sitham Par Sitham Hai Gawara Muhammad
Na Chorenge Daman Tumhara Muhammad.
Ya Muhammad Khudara Karam Kijiye
Mushkilein Sab Ki Aasan Banadijiye.
Ya Muhammad Shahinshahe Kauno Makan
Saqt Mushkil Me Hoon Aur Pareshan Hoon
Gir Na Jaaun Kahin Be Sahara Hoon Mai
Mere Aaqa Mujhe Aasra Dijiye.
Karraha Hai Zamana Sitham Par Sitham
Aapko Chor Kar Jaayen Aaqa Kidhar
Door Kardijiye Saare Ranjo Alam
Zulmatein Zindagi Se Mitadijiye.
Roraha Hai Jo Furqath Me Aato Pahar
Hai Ye Altaf Bhi Maare Gham Aapka
Laaj Altaf Ki Aap Rakhlijiye
Apna Jalwa Isse Bhi Dikhadijiye.
Martaba Islam Ka Jisne Dobaala Kardiya