Yoon To As'haabe Rasoolallah Sab
Yoon To As'haabe Rasoolallah Sab
Kalaam of Khan Quadri Arshad Habibi Sahab
Yoon To As'haabe Rasoolallah Sab Zeeshan Hai
Hazrate Usman Lekin Hazrate Usman Hain.
Aap Zun'noorain Hain Aur Jaamaye Quran Hain
Aap Par Khairul Wara Ke Kis Qadar Ehsan Hain.
Ye Sharaf Kuch Kam Nahi Hai Sarware Kauno Makan
Aapki Khaatir Shareek -E- Bay'at -E- Rizwan Hai.
Qehet Me Bhi Sab Musalmanon Ke Ghar Choolhe Jale
Iss Ataa Par Ahle Sarwath Aaj Bhi Hairaan Hai.
Ek Nazar Arshad Habibi Par Ho Usmane Ghani
Aap Par Maa Baap Mere Jaan -O- Dil Qurban Hai.