Aye Khatme Rusul Makki Madani
Aye Khatme Rusul Makki Madani
Aye Ishqe Nabi Mere Dil Me Mere
Aye Ishqe Nabi Mere Dil Me Bhi Sama Jaana
Mujhko Bhi Muhammad Ka Deewana Bana Jaana.
Jo Rang Ke Jaami Par Roomi Pe Chadhaya Tha
Uss Rang Ki Kuch Rangat Mujhpe Bhi Chadha Jaana.
Qudrat Ki Nigahein Bhi Jis Chehre Ko Takti Thi
Uss Chehra -E- Anwar Ka Deedar Kara Jaana.
Jis Khwab Me Hojaye Deedar -E- Nabi Hasil
Aye Ishq Kabhi Mujhko Neend Aisi Sula Jaana.
Deedar -E- Muhammad Ki Hasrath To Rahe Baaqi
Juz Iske Har Ek Hasrath Iss Dil Se Mita Jaana.
Duniya Se Riyaaz Ho Jab Uqba Ki Taraf Jaana
Daagh -E- Ghame Ahmad Se Seene Ko Saja Jaana.
Aye Ishqe Nabi Mere Dil Me Bhi
Aye Rasoole Amin Khatamul Mursaleen