Khudaya Ishqe Muhammad Me Wo Muqaam

Khudaya Ishqe Muhammad Me Wo Muqaam

Khudaya Ishqe Muhammad Me Wo Muqaam Aaye
Ke Saans Baad Me Pehle Nabi Ka Naam Aaye.

Ghulam Banke Madine Me Aaj Tak Jo Gaya
Kabhi Ye Ho Nahi Sakta Ke Wo Nakaam Aaye.

Mera Gada Mera Naukar Mera Ghulaam Aaye
Khuda Kare Kabhi Taiba Se Ye Payaam Aaye.

Mai Takht -O- Taaj Ko Thokar Pe Apni Rakhta Hoon
Bas Uss Gali Ke Faqeeron Me Mera Naam Aaye.

Meri Hayaat Ke Lamhe Basar Ho Aise Ziya
Kabhi Durood Ho Lab Par Kabhi Salaam Aaye.

Khula Hai Sabhi Ke Liye Baabe Rehmath