Laa Makaan Ke Makeen Moinuddin
Laa Makaan Ke Makeen Moinuddin
Kalaam of Ghulam Ahmed Gileemi Sahab
Laa Makaan Ke Makeen Moinuddin
Noore Haq Bil Yaqeen Moinuddin.
Farsh Se Arsh Tak Sada Hai Buland
Aafreen Aafreen Moinuddin.
Kuch Na Soojha Tumhari Chaukhat Par
Maine Rakhdi Jabeen Moinuddin.
Ab To Hosh -O- Hawaas Rukhsat Hain
Mai Nahin Mai Nahin Moinuddin.
Aye Gileemi Nabi Ki Masnad Par
Hogaye Janasheen Moinuddin.