Dil Se Khayaale Gumbade Khazra Na Jayega
Dil Se Khayaale Gumbade Khazra Na Jayega
Dil Se Khayaale Gumbade Khazra Na Jayega
Wo Lamha Haazri Ka Bhulaya Na Jayega.
Nazre Karam Huzoor Ki Hogi Na Jab Talak
Soya Hua Naseeb Jagaya Na Jaayega.
Hoga Na Mera Chaaragaron Se Kabhi Ilaaj
Jab Tak Dare Rasool Pe Jaaya Na Jayega.
Mai Hoon Dare Rasool Ka Adna Sa Ek Ghulam
Uss Dar Pe Jo Jhuka To Uthaaya Na Jayega.
Jaan Deke Bhi Hussain Ne Sabit Yehi Kiya
Ghairon Ke Aage Sar Ye Jhukaaya Na Jayega.
Mai Dechuka Hoon Aaqa Ke Haathon Me Apna Haath
Dozaq Me Mai To Kya Mera Saaya Na Jayega.
Jo Gir Pada Niyaazi Muhabbath Ki Raah Me
Juz Mustafa Kisi Se Uthaaya Na Jayega.
Dil Se Khayaale Gumbade Khazra Na Jayega