Pyaare Nabi Par Har Subho Shaam
Pyaare Nabi Par Har Subho Shaam
Pyaare Nabi Par Har Subho Shaam
Laakhon Durood Aur Laakhon Salaam
Padhte Hain Milkar Saare Ghulaam
Laakhon Durood Aur Laakhon Salaam.
Mere Nabi Hain Aali Maqaam
Saare Malaaik Dar Ke Ghulaam
Jaari Nabi Ka Jag Me Nizaam
Laakhon Durood Aur Laakhon Salaam.
Kul Ambiya Ke Tum Ho Imaam
Mamnoon Tumhara Har Khaas -O- Aam
Khair -Ur- Rusul Hain Khairul Anaam
Laakhon Durood Aur Laakhon Salaam.
Kitne Farishe Behre Salaam
Aate Hain Dar Par Har Subho Shaam
Ye Hai Nabi Ka Uncha Maqaam
Laakhon Durood Aur Laakhon Salaam.
Tera Muhammad Ahmed Hai Naam
Bheja Hai Tujhpe Sab Ne Salaam
Bhejeinge Ham Bhi Tujhpe Madaam
Laakhon Durood Aur Laakhon Salaam.
Mehshar Ka Din Hai Mushkil Me Jaan
Sookha Gala Hai Sookhi Zubaan
Hamko Ataa Ho Kausar Ka Jaam
Laakhon Durood Aur Laakhon Salaam.
Saba madine me mustafa se
Saba Madine Me Mustafa Se