Nayebe Qudrat Ke Noore Ain Usmane Ghani

Nayebe Qudrat Ke Noore Ain Usmane Ghani

Nayebe Qudrat Ke Noore Ain Usmane Ghani
Jaamiul Quran Zun Noorain Usmane Ghani
Tera Taqwa Aasmane Sabr Ko Choota Hua
Teri Faiyyazi Bohot Bechain Usmane Ghani.

Mai Muzaffar Zaat Ke Hujre Me Ek Jalta Charagh
Aaftabe Matlaye Sharqain Usmane Ghani.

Nazre Mahboobe Khuda Jaan -E- Abu Talib Hai
Saari Duniya Pe Ye Ehsan -E- Abu Talib Hai.

Allah Allah Ajab Shaane Abu Talib Hai
Haram -E- Kaaba Bhi Adab Daane Abu Talib Hai.

Mushafe Roo -E- Muhammad Hai Nazar Me Har Dam
Marhaba Khoob Ye Quran -E- Abu Talib Hai.

Inke Aaghosh Ki Zeenath Hain Ali Shere Khuda
Noore Ahmad Ta -E- Abu Daamane Abu Talib Hai.

Ehteram Inka Farishton Ki Saffon Me Bhi Hua
Jisko Dekho Wo Sana Khwane Abu Talib Hai.

Murtaza Hon Ke Hon Sibtain Sabhi Pyaare Hain
Har Kiran Sham -E- Shabistaan -E- Abu Talib Hai.

Ulfath -E- Panjatane Paak Ne Baqsha Ye Sharaf
Aaj Kal Dil Mera Mehmaan -E- Abu Talib Hai.

Chashme Bedaar Mili Muarifath Aagah Nazar
Dars -E- Haq Khutba -E- Irfaan -E- Abu Talib Hai.

Har Gule Tar Pe Nichawar Hain Falak Ke Taare
Pur Bahaar Aisa Gulistaan -E- Abu Talib Hai.

Qaabil -E- Rashk Hai Andaaz Abu Talib Ke
Haq Ka Irfaan Hi Wajdaan -E- Abu Talib Hai.

Mai Kahunga Ke Hai Mehroom Badi Naimath Ka
Jo Koi Daste Kashe Khwane Abu Talib Hai.

Baad -E- Tehqeeq Ahadees -O- Riwayaath Naseer
Mera Dil Qaabil -E- Imaane Abu Talib Hai.

Mera Dil Qaa'il -E- Imaane Abu Talib Hai.

Mai Dilo Jaan Se Hoon Maddaah Abu Talib Ka
Jo Nafas Hai Wohi Qurban -E- Abu Talib Hai.

Haram -E- Kaaba Adab Daane Abu Talib Hai.

Ehteram Unka Farishton Ki Saffon Me Bhi Hua
Tune
Pass aate hai
OJ aI
Nisabe Ishq -O- Wafa (Bibi Khadija R.A)