Shahinshahe Waala Salamun Alaikum
Shahinshahe Waala Salamun Alaikum
Shahinshahe Waala Salamun Alaikum
Do Aalam Ke Aaqa Salamun Alaikum.
Tajalli Ye Makkah Salamun Alaikum
Bahare Madina Salamun Alaikum.
Har Ek Gul Ki Tehni Se Aawaz Aayi
Nabi Aarahe Hain Salamun Alaikum.
Padha Sangrezon Ne Kalma Nabi Ka
Buton Ne Pukara Salamun Alaikum.
Tawallud Hue Jis Ghadi Mere Aaqa
To Kaaba Pukara Salamun Alaikum.
Gaye Arsh Par Jis Ghadi Mere Aaqa
Khuda Khud Pukara Salamun Alaikum.
Madina Mai Pohonchun Ba Fazle Ilahi
Karun Peshe Mujra Salamun Alaikum