Lam Yaati Nazeero Kafi Nazarin(

Lam Yaati Nazeero Kafi Nazarin(

Pat Apni Bi Pat Mai Kaan Se Kahun
Lau Madine Ki Tajalli Se Lagaye Hue Hain
Dil Ko Ham Matla -E- Awaaz Banaye Hue Hain.

Kashtiyan Apni Kinaare Se Lagaye Hue Hain
Kya Wo Doobe Jo Muhammad Ke Taraye Hue Hain.

Sharme Isyaan Se Nahi Saamne Jaaya Jaata
Ye Bhi Kya Kam Hai Tere Shehr Me Aaye Hue Hain.

Ik Jhalak Aaj Dikha Aye Gumbade Khazra Ke Makeen
Kuch Bhi Hai Door Se Deedar Ko Aaye Hue Hain.

Haziro Naziro Nooro Basharo Ghaib Ko Chor
Shukr Kar Wo Tere Aibon Ko Chupaye Hue Hain.

Naam Aate Hi Abu Bakr -O- Umar Ka Lab Par
Tu Bigadta Hai Wo Pehlu Me Sulaaye Hue Hain.

Qabr Ki Neend Se Uthna Koi Aasan Na Tha
Ham To Mehshar Me Unhe Dekhne Aaye Hue Hain.

Sar Pe Rakhdijiye Zara Daste Tasalli Aaqa
Gham Ke Maare Hain Zamane Ke Sataye Hue Hain.

Teri Nisbath Hi To Hai Jiski Badaulath Hum Log
Kufr Ke Daur Me Imaan Bachaye Hue Hain.

Kyun Na Palla Tere Aamal Ka Bhaari Ho Naseer
Ab To Mizaan Pe Sarkar Bhi Aaye Hue Hain...

Kya Wo Doobe Jo Muhammad Ke Tiraaye Hue Hain.

Ek Jhalak Aaj Dikha Aye Gumbade Khazra Ke Makeen
Sar Pe Rakhdije Zara Daste Tasalli Aaqa
Dil Ko Ham Matla -E- Anwaar Banaye Hue Hain.

Gham Ke Maare Hain Zamane Ke Sataye Hue
Hain.

OFOA
Ab To Meezan Pe Sarkar Bhi Aaye Hue Hain...

Ek Jhalak Aaj Dikha Gumbade Khazra Ke Makeen
Kyun Na Palda Tere Aamal Ka Bhaari Ho Naseer
Kaash Deewana Banalein Wo Hamein Bhi Apna
Ek Duniya Ko Jo Deewana Banaye Hue Hain.

Allah Allah Madine Pe Ye Jalwon Ki Phunwaar
Baarishe Noor Me Sab Log Nahaye Hue Hain.

Maahe Madina Wo Shaahe Waala
Hai Jiske Dam Se Jag Me Ujaala.

Sab Ka Mu'allim Aisa Ek Ummi
Ustaad Jiska Khud Haq Ta'ala.

Ummat Me Jiski Thehra Barabar
Adna Se Adna Aala Se Aala.

Zarbat Se Tauheed Ki Jisne Toda
Shirke Jali Ka Mazboot Taala.

Rote Huwon Ko Jisne Hasaya
Girte Huwon Ko Jisne Sambhala.

Jisko Umar Ne Bas Dediya Dil
Jaancha Na Parkha Dekha Na Bhaala.

Paiwasta Baaham Mehrabe Abru
Wo Girte Aariz Zulfon Ka Haala.

Har Lamha Jiska Oola Se Aula
Har Aan Me Jo Baala Se Baala.

Dekha Na Ab Tak Chashme Falak Ne
Aisa Anokha Aisa Niraala.

Imaan -O- Taqwa Miyaare Izzath
Wajhe Fazilath Gora Na Kaala.

Kunje Lahad Ho Pul Ho Ke Meezan
Har Jaa Chalega Tera Hawala.

Jisko Duboya Mauje Alam Ne
Thokar Se Tu Ne Usko Uchala.

Tera Bulaya Maqboole Daawar
Mardoode Yazdaan Tera Nikaala.

Darbaan Jo Uljha Baabe Nabi Par
Paani Ke Hote Paani Ko Tarsa
Usne Kaha Qum Mai Ne Kaha Laa.

Tujhko Naseer Ab Kya Khaufe Dozakh
Pul Par Khada Hai Khud Kamli Waala.

Dil Bande Zahra Naazon Ka Paala.

Madine Diyan Paak Galiyan