Se Bulawa Aaraha Hai
Se Bulawa Aaraha Hai
Madine Se Bulawa Aaraha Hai
Mera Dil Mujhse Pehle Jaaraha Hai.
Shabe Furqat Se Dil GMadinehabra Raha Hai
Madina Aapka Yaad Aaraha Hai.
Yahan Marzi Nahi Chalti Kisi Ki
Madine Waala hi Bulwa Raha Hai.
Ajab Hain Sabz Gumbad Ke Nazaare
Nigahon Ko Khuda Yaad Aaraha Hai.
Nawason Ka Wo Sadqa Baant'te Hain
Zamana Unka Sadqa Kharaha Hai.
Ye Chakki Sayyada Ki Chalrahi Hai
Zamana Jitna Langar Kharaha Hai.
Kaheinge Mustafa Qadmon Se Lag Jaa
Dare Zahra Se Hokar Aaraha Hai.
Mera Dil Bhi Tu Apne Saath Le Jaa
Akela Kyun Madine Jaraha Hai.
Zabeeb -E- Benawa Zahra Ke Sadqe
Zamane Bhar Me Izzath Paa Raha Hai.
Bulayeinge Tujhe Bhi Sarware Deen
Dile Mehmood Kyun Ghabra Raha Hai.
Madine Se Bulawa Aaraha Hai