Nisaabe Ishq -O- Wafa Sayyada Khadija Hai

Nisaabe Ishq -O- Wafa Sayyada Khadija Hai

Nisaabe Ishq -O- Wafa Sayyada Khadija Hai
Qaraare Shaahe Dana Sayyada Khadija Hai.

Lutadi Daulatein Islam Ki Baqa Ke Liye
Moine Deene Huda Sayyada Khadija Hai.

Dare Karam Se Koi Bhi Nahi Gaya Khaali
Kamale Joodo Saqa Sayyada Khadija Hai.

Bila Shuba Hai Khadija Hi Jadda -E- Sadaat
Bina -E- Aale Abaa Sayyada Khadija Hai.

Khushi Ho Ya Koi Gham Mustafa Ke Saath Rahin
Nishane Sabro Wila Sayyada Khadija Hai.

Hira Pe Tosha Liya Unka Dam Ba Dam Jaana
Kamaale Hilmo Raza Sayyada Khadija Hai.

Ke Jinpe Arsh Se Tasleeme Haq Hui Naazil
Pasande Zaate Khuda Sayyada Khadija Hai.

Mitenge Tere Mushahid Tamam Ranjo Alam
Ke Dardo Gham Ki Dawa Sayyada Khadija Hai.

More from Manaqib Mix

  • Hamari Hai Dua Shahe Ghousul Wara
  • Aa Tujhko Bataun Mai Irfaane Abu Talib
  • Abbas Tere Dar Sa Duniya Me Dar Kahan
  • Ajmer Meri Manzil Baghdad Hai Thikana
  • Allah Muhammad Chaar Yaar
  • Ameere Hamza Ameere Hamza