Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Nabi Salaam Alaika
Teri Justju Me Jeena
Teri Aabru Me Marna
Yehi Meri Zindagi Hai
Yehi Meri Bandagi Hai.
Ho Na Tanha Rauze Mehshar
Saath Ho Mehboobe Daawar
Aur Ho Shabbir -O- Shabbar
Sar Pe Ho Zahra Ki Chaadar.
Dil Me Tum Masnad Nasheen Ho
Iss Makaan Ke Tum Makeen Ho
Ham Marein To Wo Zameen Ho
Aur Saraane Bhi Tumhi Ho.
Sadqa Do Ghousul Wara Ka
Sadqa Do Khwaja Piya Ka
Sadqa Do Kul Auliya Ka
Rukh Badal Do Har Bala Ka.
Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika
Salawa Tulla Alaika.
Arsalallahu Ta Aala
Indana Nooram Mubeena
Mustafa Maja -a- Illa
Rahmatullill Aalameena.
Taala Al Badru Alaina
Min Sani Yaatil Wadai
Wajabash Shukru Alaina
Mada'a Lillahidaai.
Faqre Aadam Faqre Hawwa
Faqre Nooh Faqre Yahiya
Faqre Ibrahim -O- Moosa
Faqre Ismail -O- Isaa.
Aapka Tashreef Laana
Waqt Bhi Kitna Suhana
Jagmaga Utha Zamana
Hoorein Gaati Thi Tarana.
Rehmaton Ke Taaj Waale wax
Do Jahan Ke Raaj Waale
Arsh Ke Meraj Waale
Aasiyon Ki Laaj Waale.
Baqshdo Jo Cheez Chaho
Kyun Ke Mehboobe Khuda Ho
Mustafa Ho Mujtaba Ho
Jo Kahoon Us Se Siwa Ho.
Aapki Tareeq Baara
Ghouse Aazam Ki Hai Gyaara
Kijiye Aisa Ishaara
Paar Ho Beda Hamara.
Aye Shahinshahe Zamana
Aapka Ye Aastana
Rehmaton Ka Hai Khazana
Ho Nigahe Mehrbaana.
Naaz Ke Paalon Ka Sadqa
Dukh Bhare Naalon Ka Sadqa
Karbala Waalon Ka Sadqa
Bheek Do Laalon Ka Sadqa.
Aye Mere Maula Ke Pyaare
Noor Ki Aankhon Ke Taare
Ab Kise Sayyad Pukaren
Tum Hamare Ham Tumhare.
Aapke Rutbe Bade Hain
Hum Gunahon Me Pade Hain
Bakhsh Do Jitne Khade Hain
Hum Yahan Chote Bade Hain.
Ya Rasoolallah Bachalo
Hum Gire Humko Sambhalo
Naare Dozaq Se Bachalo
Kaali Kamli Me Chupalo.
Subha Ka Manzar Haseen Ho
Zarra Zarra Dil Nasheen Ho
Aur Madine Ki Gali Ho
Aapki Ummat Wahin Ho.
Jaankar Kaafi Sahara
Leliya Hai Dar Tumhara
Khalq Ke Waris Khudara
Lo Salaam Ab To Hamara.
Itna Karam Shahe Umam Ho
Khaali Rooh Se Jab Badan Ho
Shehre Taiba Ka Kafan Ho
Aur Madine Me Dafan Ho.
Waasta Aale Abaa Ka
Sadqa Hazrath Fatima Ka
Aur Shaheede Karbala Ka
Gham Na Ho Rauze Jaza Ka.
Jankani Ke Waqt Aana
Chehra -E- Anwar Dikhana
Ambari Zulfein Sunghana
Kalma -E- Taiyyab Padhana.
Mere Maula Mere Sarwar
Hai Yehi Armaane Akbar
Pehle Qadmon Pe Rakhun Sar
Phir Kahun
Sar Ko Uthakar.
Ya Nabi Salam Alaika