Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tamanna
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tamanna (NFAK)
Marhaba Salle Alaa Hastam Sana Khwane Rasool
Sad Salaame Man Ba Jisme Paak Bar Jaane Rasool
Aye Saba We Paike Mushtaqan Ba Dargahe Nabi
Do Salaamam Dast Basta Peshe Aiwaane Rasool.
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tamanna Tumhi To Ho
Ham Jisme Basrahe Hain Wo Duniya Tumhi To Ho.
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho...
Teri Zulf Gar Shabe Qadr Hai
Tera Chehra Badre Muneer Hai
Tere Sadqe Jaaun Mai Ya Nabi
Tu Habeebe Rabbe Qadeer Hai.
Tera Husn Jalwaye Toor Hai
Teri Shakl Suraye Noor Hai
Ke Jahan Me Koi Aaj Tak
Teri Misl Hai Na Nazeer Hai.
Teri Deed Jisko Naseeb Hai
Wo Naseeb Qaabile Deed Hai
Tera Dekhna Meri Eid Hai
Tera Rukh Kalaame Majeed Hai.
Teri Deed Karne Ko Khud Khuda
Tujhe Paas Apne Bula Liya
To Bithake Saamne Ye Kaha
Meri Aaj Arsh Pe Eid Hai.
Tera Noor Noore Qadeem Hai
Tera Husn Husne Kamaal Hai
Nahi Jiski Koi Misaal Hai
Tu Hi Aamena Ka Wo Laal Hai.
Farishta Dar Pe Basad Ehteraam Ataa Hai
Khuda Ke Baad Tumhara Hi Naam Aata Hai
Kaleem Honge Tumhe Kya Kaleem Se Matlab
Tumhare Ghar Me Khuda Ka Kalaam Aata Hai.
Bas Allah Allah SubhanAllah
Allah Allah SubhanAllah...
Tu Ne Qabl Az Do Jahan Shaane Tajalla Dekhi
Arsh Banta Hua Sajti Hui Duniya Dekhi
Tere Qadmon Me Jhuki Saare Rasoolon Ki Jabeen
Sab Ne Allah Ko Maana Teri Dekha Dekhi.
Bas Allah Allah SubhanAllah
Allah Allah SubhanAllah
Har Ek Kundal Kundal Uthe Aashiq Da Dil Dole
Husn Tere Di Sift Ki Aakhan Kafir Kalma Bole
Aakhe Allah Allah SubhanAllah
Allah Allah SubhanAllah.
SubhanAllah Maa Ajmalaka
Maa Ahsanaka Maa Akmalaka
Kithay Mehre Ali Kithay Teri Sana
Gustakh Akheen Kithe Jaa Ladiyaan.
Marhaba Marhaba
Marhaba Marhaba..
Ya Imaamul Qiblatain
Ya Nabi -Ul- Haramain
Aap Hain Aankhon Ki Thandak
Aap Hain Har Dil Ka Chain
Innaka Shamsuz Zuha
Innaka Badrud Duja
Innaka Noorul Huda
Innaka Sadrul Ulaa
Az Ibteda Ta Inteha
Tui Ya Muhammad Mustafa.
Dil Jis Se Zinda Wo Tum Ho...
Jaddul Hussaini Marhaba
Ya Noorul Ayni Marhaba
Girah...
Ya Habibi Marhaba Marhaba
Marhaba Marhaba
Roya Shabe Hijraan Me Bohot Ashk Bahaya
Marhaba Marhaba
Itne Me Musawwir Ko Zara Rehm Jo Aaya
Naqshe Kayi Tasweeron Ke Wo Saamne Laaya
Bola Ke Ye Yousuf Hain Ye Isaa Hain Ye Moosa
Maine Kaha Inme Se Kisi Par Nahi Shaida
Mukh Chandr Badr Shah Saani Aye
Teri Surath Noon Mai Jaan Aakhan
Jaanan Ke Jaane Jahan Aakhan
Sach Aakhan Te Rab Di Shaan Aakhan
Jis Shaan Tu Shaanan Sab Bariyan.
SubhanAllah Maa Ajmalaka
Maa Ahsanaka Maa Akmalaka
Kithay Mehre Ali Kithay Teri Sana
Gustakh Akheen Kithe Jaa Ladiyaan.
Marhaba Marhaba..
Aa Wi Jaa Hun Kaali Kamli Waaleya.
Shahsawaara Raazdaara Rab Diyan
Aye Alam Nashrah De Seene Waaleya
Taajdaara Dardmanda Sab Diyan
Aye Shahinshaha Madine Waaleya
Aa Wi Jaa Wal Fajr Chehre Waaleya
Aa Wi Jaa Yaseen Sehre Waaleya
Yaad Teri Da Mai Deewa Waaleya.
SubhanAllah Maa Ajmalaka
Maa Ahsanaka Maa Akmalaka
SubhanAllah Allah Allah
SubhanAllah Allah Allah....
Noori Mukhde Te Payi Chamak Di Aye
Jene Dekheya Kamli Waale Nu
Muhu Nikleya Waah SubhanAllah
Kaisi Zulfe Siyaah SubhanAllah
Lab Laale Yaman Qad Sarwe Chaman
Aye Naafa Kutan At'har Hai Badan
Tere Husn Di Ki Tareef Karaan
Keh Utheya Khuda SubhanAllah
Bas Allah Allah SubhanAllah
SubhanAllah Allah Allah.
Jab Saamne Laaya Wo Shabihe Shahe Waala
Be Saaqta Uss Waqt Zabaan Se Meri Nikla...
Mujh Pur Khata Ki Laaj Tumhare Hi Haath Hai
Mujh Nange Do Jahan Ka Waseela Tum Hi To Ho.
Jo Dastageer Hai Wo Tumhara Hi Haath Hai
Jo Doobne Na De Wo Sahara Tumhi To Ho.
Duniya Me Rehmate Do Jahan Aur Kaun Hai
Jiski Nahi Nazeer Wo Tanha Tumhi To Ho.
Phoota Jo Seena -E- Shabe Taare Al Ast Se
Uss Noore Awwaleen Ka Ujaala Tumhi To Ho.
Jalte Hain Jibraeel Ke Par Jis Maqaam Par
Uski Haqiqaton Se Shanaasa Tumhi To Ho.
Sab Kuch Tumhare Waaste Paida Kiya Gaya
Aye Taajdaare Yasrab -O- Bat'ha Tumhi To Ho.
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tamanna