Ya Rab Mujhe Dikhlade Kashana Muhammad Ka
Ya Rab Mujhe Dikhlade Kashana Muhammad Ka (Hz Waasiq Rh)
Kalaam of Waasiq
Ya Rab Mujhe Dikhlade Kashana Muhammad Ka
Peete Hue Marjaun Paimana Muhammad Ka.
Banjaun Kuch Aisa Mai Deewana Muhammad Ka
Deedar Mayassar Ho Rozana Muhammad Ka.
Har Jaam Hai Irfaan Ka Paimana Muhammad Ka
Ye Silsile Saare Hain Maikhana Muhammad Ka.
Ek Shor Hain Mehshar Me Hairath Hai Malaaik Ko
Kis Shaan Se Aata Hai Deewana Muhammad Ka.
Ek Haath Ka Takiya Hai Aur Khaake Zameen Bistar
Andaaz Niraala Hai Shaahana Muhammad Ka.
Anwaare Muhammad Se Aankhein Hon Meri Raushan
Banjaaun Muhabbath Me Parwana Muhammad Ka.
Waasiq Pe Inayath Ki Jab Unki Nazar Hogi
Deewane Bhi Samjheinge Deewana Muhammad Ka.
Ya Sayyadi Ya Mustafa Behre Khuda (Hz Hasrath Rh)