Khud Ko Dekha To Tera Joodo Karam
Khud Ko Dekha To Tera Joodo Karam
Khud Ko Dekha To Tera Joodo Karam Yaad Aaya
Tujhko Dekha To Musawwir Ka Qalam Yaad Aaya.
Subha Phooti To Tere Rukh Ki Ziya Yaad Aayi
Chand Nikla To Tera Naqshe Qadam Yaad Aaya.
Kaaba Dekha To Teri Buth Shikani Yaad Aayi
Khuld Dekha To Tera Sehne Haram Yaad Aaya.
Hamne Aadaa Ke Mazaalim Ka Gilaa Chord Diya
Zaat Par Teri Jo Apnon Ka Sitham Yaad Aaya.
Dekhkar Jhoote Khudaon Ki Sakha Ka Dastoor
Mujhko Sarkar Ka Andaaze Karam Yaad Aaya.
Raushni Teergi -E- Hadde Nazar Tak Aazam
Jab Bhi Wo Maahe Arab Mehre Ajam Yaad Aaya.
Khud Ko Dekha To Tera Joodo Karam